Nov 1, 2010

Mariz-E-Muhabbat

("*Mariz-E-Muhabbat*")

Mariz-E-Muhabbat,

Unhi Ka Fasana,

Sunata Raha Dam Nikalte
Nikalte..


Magar Zikar Sham-E-Alam Ka Jab Aaya,

Charagh-E-Sehar Bujh Gaya Jalte Jalte..


Unhe Khatt Main Likha Tha !

Dil MuZtrib Hai,

Jawab Unka Aaya "Muhabbat Na karte"..


Tumhen Dil Lagi Ko Kis Ne Kaha Tha,

Behal Jaye Ga Dil Behalte Behalte..

Mujhe Apne Dil ki To Parwa Nahi hai,

Magar Dar Raha Hon K Bachpan Ki Zid Hai,

Kahin Paa-E-Nazuk Main Moch Aa Na Jaye,

Dil-E-Sakht Jaan Ko Masalte Masalte..


Bhala Koi Wada Khilaafi Ki Hadd Hai,

Hisab Apne Dil Main Laga K ToO Socho????

Qayamat Ka Din Aa Gaya Rafta Rafta,

Mulaqaat Ka Din Badalte Badalte..


Irada Tha Tarq-E-Muhabbat Ka Lekin,

Fareb-E-Tabasum Main Phir Aa Gaye Hum,

Abhi Khaa K Thokar Sanbhalne Na Paye,

K Phir Khaai Thokar Snbhlte Snbhlte..


Wo Mehmaan Mere Huye Bhi ToO Kab Tak,

Hui Shama Gul Aur Na DuBe Sitaare,

Umair ! Is Qadar Unko Jaldi Thi Ghhar Ki,

K Ghhar Chal Diye Chaandni Dhalte Dhalte...~*~/





"2 Ajnabi dost"
WantEd LArkA

No comments: