Oct 30, 2010

My College Life

My College Life

Itna sharmila bhi guzra hai zamana uska
apna muh apni kitabo mai chupana uska ,

woh hi ek phool tha college mai koi aur na tha
maine nazdeek se dekha hai zamana uska,

chutti na kerta tha aur ishq hua tha jabse
phir to chuta nahi iskool mai aana uska,

saaf kapdo ko bhigoker use phailane ko
chat pe chadne ka tha ek aur bahana uska,

sochta hu to mere dil ko jala deta hai
dhoop mai aana kabhi dhoop mai jana uska ,

uski bato pe bhi itna yaqee tha zaidi 
jhoot bhi keh diya to jhoot na mana uska,


"2 Ajnabi dost"
[ tiMe pASs ]

No comments: