Aug 9, 2010

Sanwali LaDki

Jisse mein ne jaan se bhi jyada pyaar kiya
Oussi ne mere dil pe berehmi se vaar kiya

Dagaa dene wale jaate jaate itna rote nahin
Ouss ne bewafaa hone ka kyon izhaar kiya

Jab pata chala ki wo majburi ki ek putli hai
Tab se gila na karne ka meine vichaar kiya

Kayi baar ousse sameep se gouzarte dekha
Par nazar milane se ousne saaf inkaar kiya

Mushkil se zindagi ko jo thoDa pyaar diya
Wo sochne lagi ki meine ouse bezaar kiya

Issi soch main ki jald hi laut kar aayegi wo
Meine ouss Sanwali LaDki ka intazaar kiya



"2 Ajnabi DoSt"
WaNteD LARki

No comments: