(* KAHAANI KHATAM HOTI HAY *)
Suna hay Rai'gaani ki kahaani likh rahe ho tum..??
Kahaan se lafz laao ge ??
Ibaarat kya banaao ge ??
Jo lehje main hay dukhh ka zaaiqa
Kaise chupaaoge ??
Agar tehreer likho ge
Mohabat ki gawa'hi se
Judaaii ki siya'hi se
Qalam ki aankh roye gi
Sabhhi asloob
Saare sit'aare roothh jaayn ge
Jo dil par bandh hain baandhe
Wo saare toot jaayn ge
Kisi likh kar mit'taii satar par Jab dhe'yaan thehre ga
To ek be-naam rishtaa
Zeest ka unwaan thehre ga
Use jhutlaao ge kaise ??
Bayaan kar paaoge kaise ??
Azeeyat k hawaalon ko
Mohabbat ki misaalon ko
Kisi kirdaar k dil par pade Zakhmon ko,
chhaalon ko
Bikharte khuwaab likho ge
Ruke sailaab likho ge
Kahaani main jahan par hijr ka tum baab likho ge
Kaho ...... Hai taab ??
Likho ge......?????
Kahaani Main amooman aakhri saf'he pe aa kar hi
Diloon k chaak silte hain
Ya wirse dukhh k milte hain
Magar tum khool bethe ho yeh saf'ha shaam se pehle
Maqaam-e-sabr se pehle
Hadd-e-ilzaam se pehle
Kahaani khatam hi karni hai agar
Anjaam se pehle
To yeh bhi faisla kar do
K hum likhain to kya likhain..?
Tumhare naam se pehle...~*~\
"2 Ajnabi dost"
WantEd LArKA
No comments:
Post a Comment