Apni Bekarari Me Ek
Ajeeb Sa Nisaab Paya
Doriy'on Kay Baad Bhi
Kareeb Sa Hisaab Paya.
Wo Aa gae To Mit Gae
Tushnagi Intazaar Ki,
Yun Bars'on Ke Sawal Ka
Ek Pal Main Jawab Payaa.
Mudaton K Bad Mila Jo
Deedaar Kaa Sooroor,
Jab Ajnabi Maahol Main
Josh Kaa Sharab Payaa.
Tajasus Aur Betabi Me
Yun Bhar Gayaa Urooj,
Jab Nazr'on Main Sharm
Or Rukh Per Naqab Paya.
Hosh Tha Wajod Me Na
Khauf Thaa Rakeeb Kaa,
Un Ko Dekhy Hi Dunya Ko Heech Aurr Kharaab Paya.
Jumbush B Na La Sake
Labo'n Par Alfaaz Kii,
Uss Zaat-E-Janan Me Ek Mobahum Saraab Paya.
Mile Bhi To Hum Per Ek
Ehsaan-E-Gaer Chor Gae,
Yun Ibtada-e-ishq Men
Hi Kia Khob Azab Paya.
Kia Khobion Pe Un Ki
Aqeel Kare Tabseera
Jab Baad-E-Molakaat B
Chehre Pe Hijaab Paya
"2 Ajnabi dost"
WAntEd LArkA
No comments:
Post a Comment