May 3, 2010

Sath De sako Tu sath Du

Bara kathan hai raasta, jo aasako toh saath do
Yeh zindgi ka faasla mita sako toh saath do

Bare fareb khao ge, bare sitam uthao ge
yeh umar bar ka saath hai, nibha sako toh saath do

Jo tum kaho yeh dil toh kiya mein jaan bhi fida kar doon
Jo main kahoon bus ik nazar luta sako toh saath do

Hazar imtihaan yahan, hazar aazmaishain
hazar dukh, hazar ghum utha sako toh saath do

ye zindgi,yahan khushi ghamon ka saath saath hai
rula sako toh saath do, hansa sako toh saath do.


"2 Ajnabi dost"
   ME & yOU
 

No comments: