May 29, 2010

aik raat

SALAM TO ALL,


with hope to be apreciated by all of you i am posting my own poem written by myself
i like my this poem more than my rest of poetry


aik raat
men
sukoon ki talaash men
dheeray dheeray
haolay haolay
apni yaadon men khoya
ik weeraanay men jaa pohncha
men ne suna tha weeraanay men
bohat khamoosi hoti hey
duniya se baaghi loogon ko
waheen sukoon bas milta hey
kiyon k
na koi kisi se milta hey
men ne soocha baith k ab
tanhaai se khailon ga
apnay dil k saaray dukh sukh
khud apnay aap se keh don ga
magar
mujhay mehsoos huwa
k us weeraanay men
meray siwa koi aor bhi tha
poocha us se kon hey tu
us ne kaha moot hun men
mera sukoon bas jaata raha
meray khayaal
meri roh men
ik bhonchaal sa aanay laga
meray paaon talay jaisay
zameen thi hi nahin
bhaanp k meri wehshat ko
mujh se huwi mukhaatib yun
haan moot hun men
per matt ghabra
tujh se abhi door hun men
teri tarah is weeraanay mein
men bhi sukoon ki talaash men hon
samait k apna bikhra sheraaza
bhool gaya men wehshat ko
pooch liya phir men ne bhi
tujhay sukoon ki talaash hey kiyon?
teray bhi koi dukh hen kiya?
loogon k to soo dukh hen
kisi se nafrat kertay hen wo
kisi se piyaar wo kertay hen
miltay aor bichartay hen wo
nafrat ki piyaasi duniya men
kiyonk jeetay mertay hen wo
teray bhi koi dukh hen kiya?
na tu kisi se bicharti hey
na tujh se koi bicharta hey
tujhay to aik hi kaam hey bas
teray liye hayaat aaaaam hey bas
teray bhi koi dukh hen kiya?
booli kitna paagal hey tu
chooti sooch k maaalik hey tu
phir bhi
kitna khushqismat hey tu
logoon se milta aor bicharta hey tu
kisi se nafrat
kisi se piyaar bhi kerta hey tu
jaagta hey aor soota hey tu
hansta bhi hey roota bhi hey
maana teray dukh bhi hon gay
lakin tujh ko moot to hey
mera safar to lamba hey
meray bhi ab dukh sun lay
is se mushkil kaam
is dunya men kiya hoona hey?
sab ko sula ker
aakhir men mujh ko soona hey
sab kehtay hen zaalim hon men
sab ki khushiyon ki qaatil hon men
is dunya k saaaray logo
matt soocho k zaalim hon men
jab meri wajah se
koi kisi se bicharta hey
tumhein pata hey?
mera dil bhi dukhta hey
lakin men
kis ko apna gham sunaaon?
sab hi mujh se khaaaaif hen
is dunya se chalay jaatay hen jab
loog sukoon paatay hen tab
magar
azal ta abad mujh ko to jeena hey
jaaney kitnay hi logoon ka khoon peena hey
tu ab apnay ghar ko ja
weeraanon men sukoon kahan
tera sukoon to mujh men hey
ik din jab men aaaon gi
phir tera sukoon bhi laaon gi
tujhay sukoon men day doon gi
magar khud sukoon ki
TALAAAAAAAAAAAAAAAAA AAAASH men hon


"2 Ajnabi DOst"
Missing U GurIyA

No comments: