Husn-e-Jaana Ki Taareef Mumkin Nahin
Aafreen, Aafreen,Aafreen, Aafreen
Too Bhi Dekhe Agar To Kahe Ham-Nashin
Aafreen, Aafreen,Aafreen, Aafreen
Aisa Dekha Nahin Khubsurat Koi
Jism Jaise Ajanta Ki Murat Koi
Jism Jaise Nigahon Pe Jadu Koi
Jism Nagma Koi Jism Khushboo Koi
Jism Jaise Machalti Hui Raagini
Jism Jaise Mehakti Hui Chaandni
Jism Jaise Ke Khilta Hua Ik Chaman
Jism Jaise Ke Suraj Ki Pehli Kiran
Jism Tarsha Hua Dil-Kash-o-Dil-Nashin
Sandali Sandali, Marmari Marmari
Aafreen Aafreen
Chehra Ik Phuul Ki Tarah Shadab Hai
Chehra Uska Hai Ya Koi Mehtaab Hai
Chehra Jaise Ghazal, Chehra Jaan-e-Ghazal
Chehra Jaise Kali, Chehra Jaise Kanwal
Chehra Jaise Tasavvur Ki Tasveer Bhi
Chehra Ik Khwaab Bhi Chehra Tabeer Bhi
Chehra Koi Alif Lailavi Daastaan
Chehra Ik Pal Yaqeen Chehra Ik Pal Gumaan
Chehra Jaise Ke Chehra Koi Bhi Nahin
Mah-Rooh Mah-Rooh, Mah-Jabin Mah-Jabin
Aafreen Aafreen
Aankhein Dekhi To Main Dekhta Reh Gaya
Jaam Do Aur Donon Hi Do Aatishah
Aankhein Ya Maikade Ke Ye Do Baab Hain
Aankhein Inko Kahuun Ya Kahuun Khwaab Hain
Aankhein Neechi HuiiN To Haya Ban Gayii
Aankhein Oonchi HuiiN To Dua Ban Gayii
Aankhein Jhuk Kar UthiiN To Ada Ban Gayii
Ankhen Uth Kar Jhuki To Kaza Ban Gayii
Aankhein Jin Mein Hain Qaid Aasmaan-o-ZamiiN
Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi
Aafreen Aafreen
Zulf-e-Jaana Ki Bhi Lambi Hai DaastaaN
Zulf Ke Mere Dil Per Hai ParchaiyaaN
Zulf Jaise Ke Ummdi Hui Ho Ghata
Zulf Jaise Ke Ho Koi Kaali Bala
Zulf Uljhe To Duniya Pareshaan Ho
Zulf Suljhe To Ye Geet Aasaan Ho
Zulf Bikhre Siyaah Raat Chhaane Lage
Zulf Lehraaye To Raat Gaane Lage
Zulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni Hasiin
Reshmi Reshmi, AmbariiN Ambariin
Aafreen Aafreen,Aafreen Aafreen,Aafreen Aafreen
"2 Ajnabi dost"
No ObBjEcTiOn
No comments:
Post a Comment