Feb 20, 2010

Tum yeh kehtey ho

Tum yeh kehtey ho

main Tanhaii se kyun darta hoon
Tau suno

Jab tanha hota hoon, tau tumhari yaadein aati hain

Ab tum yeh kaho gi

tau tum mujhe yaad nahi karna chahtey

Baat yeh nahi hai

Baat yeh hai keh

Tumhari yaadein meri jaan le lein gi

tau tum maut se dartey ho?

Baat yeh bhi nahi hai

Baat yeh hai ke agar main

marr gaya tau

Tumhari yaadein kis ko talaash karein gi...
 
 
"2 Ajnabi dost"
 No Time 4 Love

No comments: