Feb 8, 2010

meri nazar main ubhar raha hai

meri nazar main ubhar raha hai
wo ek lamha
k jab kisi ki haseen zulfon ki narm chaaon main aankh moonday
gaye dino ka khayal kar k
tum ek lamhay ko kho si jao gay or shayad
na chah kar bhi udas ho gay
to koi sheereen nawa ye poochay gi
meri jan tum ko kia hua hay ?
ye kis tasawur main kho gay ho?
tumaharay honto pe subah ki awaleen kiran ki tarha ubhray gi muskurahat
tum us k rukhsaar thapthapa k
kaho gay us se
"main ek larki ko sochti thi
ajeeb larki thi kitni pagal!!"
tumaharay sathi ki khoobsoorat jabeen pe koi shikan banay gi
to tum baray piyar se haso gay
kaho gay us se
"aray wo larki
wo mere jazbaat ki himaqat
wo is qadar bay waqoof larki
mere liye kab ki mar chuki hay"
phir apnay sathi ki narm zulfon main ungliyan phairtay huay tum
kaho gay us se
"chalo naee anay wali kal main
ham apnay maazi ko dafn kar dain " ...


"2 Ajnabi dost"
  i HaTE gIrLzzz
 

No comments: