Feb 12, 2010

apne bistar pe




apne bistar pe bht der se mein neem draz

sochti thi k wo iss waqt kahan pr ho ga

mein yahan hoon mgr iss koocha rang-o-boo

roz ki tarha se wo aaj b aya ho ga

r jb us wahan mjh ko na paya ho ga

aap ko ilm hai, wo aaj nhi ayi hain?

meri hr dost se uss ne yhi poocha ho ga

kyun nhi ayi wo, kya baat hui hai akhir

khud se iss baat pe so baar wo uljha ho ga

kal wo aye gi to mein uss se nhi boloon ga

aap hi aap kyi baar wo rootha ho ga

wo nhi hai to bulandi ka safar kitna kathin
seerhiyan charhtey huey uss ne ye socha ho ga

rahdari mein, harey lawn mein, phoolon k qareeb

uss ne hr simt mjhe aan k dhoonda ho ga

naam bhooley se jo mera kaheen aya ho ga

ger mehsoos tareeqey se wo chonka ho ga

ek jumley ko kyi baar sunaya ho ga

baat krtey huey so baar wo bhoola ho ga

ye jo larki nayi ayi hai, kaheen wo to nhi

uss ne hr chehra yhi soch k dekha ho ga

jaan, mehfil hai, magar aaj faqt mere begair

haye kis darja whi bazam mein tanha ho ga

kabi sannaton se wehshat jo hui ho gi ussey

uss ne besakhta phir mjh ko pukara ho ga

chaltey chaltey koi manoos si aahat pa kr

dooston ko b kisi uzar se roka ho ga

yaad kr k mjhe, nam ho gyi hon gi palkein

aankh mein par gya kch keh k ye tala ho ga

aur ghabra k kitabon mein jo li ho gi panah

hr satar mein mera chehra ubhar aya ho ga

jb mili ho gi usey meri alalat ki khabar

uss ne aahista se deewar ko thama ho ga

soch kr ye, k behal jaye pareshani-e-dil

yunhi bewajah kisi shakhs ko roka ho ga

itafaqan mjhe iss sham meri dost mili

mein ne poocha k suno, aye thay wo? kese thay?

mjh ko poocha tha? mjhe dhoonda tha charon janib?

iss ne ek lamhey ko dekha mjhe aur phir hass di

kya kaha uss ne mjhe yaad nhi hai, lekin

ITNA MALOOM HAI, khawabon ka bharam toot gya...!!!!


"2 Ajnabi dost"
  i HATE GiRlzzzz
 

No comments: