Jan 24, 2010

*.*. Teri Yaad*.*.





























Kahin chand rahon main kho gaya

kahin chandni bhi bhatak gai

Main charagh woh bhi bujha hoa

Meri raat kaise chamak gai

Meri dastan ka urooj tha

teri naram palkon ki chaoon main

mere sath tha tujhe jaagna

teri ankh kaise jhapak gai

bhala hum mile bhi kya mile

wohi doriyan wohi fasle

Na kabhi humare kadam barhe

Na kabhi tumhari jhijak gai

tujhe bhool jane ki koshishein

kabhi kamyab na ho sakin

teri yaad shakh e ghulab hai

jo hawa chali to lachak gai...!!!
 
 
"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin
 

No comments: