Jan 25, 2010

suno ik bat ooo pagul larky

salam

myri aik nai nazm aap logon ki khidmat main pysh hy
shyad k pasand aa jay
aapni rray zaroor dain
 
 
 

 
 

suno ik bat ooo pagul larky
mujhy joo poochty ho tum
mujhy kitni muhabbat hy
chalo hum naap karthe hain
hisab apni muhabbat ka,
Khud apnay aap karthe hain

chalo sooraj ko dykhoo tum
batao kitni kirnain hain
batao kitna rooshan hy
batao kitni hiddat hy

chaloo ab chand ko dykhain
K iska husan kiuon itna
Har ik dill ko lubhatha hay
Firaq aazurda aashiq ko
Ye aakhir kiuon rulata hay

Sitaray bhi falak par hain
magar is ki koi ginti
kabhi kiya kar bhi paao gay
Muqaddar kay sitaray ko
Kaheen say dhoond lawogay?

chaloo sahil pay chalty hain
samundar ki jahan bhipree hoyee lehrain
Hamaisha muskarathee hain
kinaron say galay lag kar,
Ye pir kion rooth jathee hain ?

Abhi barish ko lyty hain
k jis ke naramgein boondain
Bharay sawan main kithnay pyar say hum ko bigothe hain
magar jab josh main aayein tho dunya ko dabhothee hain
Baras jati hain sehrawon pay jo muddat say pyasy hain
kaheen pa rehm karthee hain, kaheen berehm ho jati hain

chaloo ab phool ki baari
K jis ka ishq main bhanwray nay kati zindagi saari
Mgar pir bhee wo tanha hay
mehk par phool kay shaida he akhir kiuon jahan itna
Bata sakthay ho tum mujh ko k aakhir raz kia ye hay
gulon k rang kitny hain, ya khushboo ka maza kia hay

agar in sab ko lay aao, tou shayad main bata paaoon
muhabbat tum sy kitni hy,muhabbat mujh ko kitni hay
 

"2 Ajnabi dost"
 iS iN lOvE

No comments: