Jan 20, 2010

*.*. Mohabbat hum nhin krtay *.*.



























Tumhen aisa kyun lgta hai

kay hum khud dhoondtay hain

apnay rishton ko,

suno jana!

kabhi aisa nhin hota,

tumharay or mere chahnay se


kuch nhin hota,

kay sab rishtay, sabhi bandhan


kahin pehlay se rakhay hain,

woh saaray aanay walay pal


jo aakhir beet jatay hain,

jo hum se jeet jatay hain,

woh sab pehlay se rakhay hain,

samjh kar soch kar

rakhay hain saray pal,


sabhi rishtay,sabhi mosam,

mohabbat bhi to lamha hai,


mohabbat bhi to mosam hai,

yeh kis ke dil pay utray ga?

kahan par kab khileyga,


konsi galiyon main mehkay ga?

najanay konsa dil iskay


rangon main fana hoga?

najanay konsa dil

is lamhay ko patay he

ghani tareekh galiyon ki

musafat say raha hoga?

wazahat hum nhin kartay,

mohabbat hum nhin krtay,

kay yeh to jadugarni hai


jo humko dhoond leti hai,

humen pehchan leti hai,


kisi masroof kamray main


pari beekaar chezon say

yeh humko chaan leti hai,

kabhi jab zakhm khilta hai,


bason or daftaron ki

bheer
main bhi yeh

hamaray sath chalti hai,

lahu ki dhoop main

chup chaap jalti hai,

hina ki khusbuon main

jab utari hai


hamari jaan leti hai,

yeh hum main bandh deti hai


naye mosam, naye soraj,

naye tare or khusbo,

yeh hum ko sonp deti hai


koi aizaaz jis ka

maan rakhna farz hota hai,

yeh hum par bojh banti hai,


yeh hum par qarz hota hai,


kahan, kis par nichawar

jaan krni hai,

yeh chahat hum nhin kartay,


suno jana!

mohabbat hum nhin krtay..!!!


"2 Ajnabi dost"
   LoVE's PAin



No comments: