Jan 9, 2010

Ab Agar Aao

Ab Agar Aao



ab agar aao tu jane k liye mat aana

sirf ehsaan jatane k liye mat aana

meine palkon pe tamanayen saja rakhi hein

dil mein umeed ki shammein jala rakhi hein

pyar ki aag mein zanjeer pighal sakti hai

chahne walon ki takdeer badal sakti hai

tum ho bebas ye batane k liye mat aana

ab tum aana jo tumhe mujse muhabbat hai koi

mujse milne ki agar tumko bhi chahat hai koi

tum koi rasm nibhane k liye mat aana

ab agar aao tu janey k liye mat aana



"2 Ajnabi dost"
 i HaTE GiRLs
 

No comments: