Tum jo pal ko thehar jaao to ye lamhey bhi
Aaney walay lamhooN ki amanat ban jaaeiN
Tum jo thehar jao to ye raat, mehtaab
Ye sabzaa, ye gulaab aur hum donoN ke khwaab
Sab kay sab aisay mubham hooN ke haqeeqat ho jaaeiN
Tum thehar jao kay unwaan ki tafseer ho tum
Tum say talkhi-e-auqaat ka mausam badley
Raat to kia badlay gi, haalaat to kia badleiN gay
Tum jo thehar jaao to meri zaat ka mausam badley
MeherbaaN ho ke na thehro to phir youN thehro
Jaisay pal bhar ko koi khwaab-e-tamanna thehrey
Jaisay darwaish-e-madaa-nosh kay pyaalay meiN kabhi
Aik do pal ke leeyay talkhiy-e-dunya thehrey
Thehar jaao kay madaarat maey-khaaney se
Chaltey chaltey koi aik-aadh subho ho ja'ay
Is sey pehley kay koi lamha-e-aainda ka teer
is tarha aa'ay kay pevasta-e-gulu ho ja'ay!!!
"2 Ajnabi dost"
LovE's PAin
No comments:
Post a Comment