Nov 12, 2009


Apna Gher

zindagi k rasto'n mein
itni gard uthti hai
faasilay sey dekhain to
kuch nazar nahin aata
manzilo'n k chehray bhi
raah ki nishaani bhi
seb hi doob jaatay hain
gard k samunder mein
dard k samunder mein
raasta nahin milta
faasila nahin ghat-ta
jis jagah sey niklay thay
hum safar k rasto'n per
wahan pohnch k dekhain to
har taraf udaasi hai
har taraf andheyra hai
kuch nazar nahin aata
bey nishaan rasto'n mein
waahmay to aatay hain
apna gher nahin aata...!!!

uNiQuE sMiLe 
 
 
"2 Ajnabi dost"
Me & YOU

No comments: