*'*'*'SUNO*'*'*'*'
Suno naraz ho hum se
Magar hum woh hain
Jin ko to manana bhi nahi aata
Kisi ne aaj tak hum se mohabat jo nahi ki hai
Mohabat kis tarah hoti
Hamaray shehar k atraaf main to sakht pehra tha
Khizaaon ka
Aur uss ki faseelain zard bailoon se ladi thin
Aur un main na koi khushbu
Na koi phool tum jaisa
K mehak uthtay hamaray dil o jaan
Jis ki qurbat se
Hum aaisay shehar e pareshaan ki veraan galion main
Kisi sukhay huay zard patay ki tarah se thay
K jab zaalim hawa
Hum pe apna qadam rakhti thi
To uss k paaon k neechay hamara dam nikal jaata
Magar pat jhar ka woh mosam
Suna hai tal chuka hai ab to
Magar jo haar hona thi
So woh to ho chuki hum ko
Suno haaray huay loogon se to rootha nahi kartay ! ! !
"2 Ajnabi dost"
LovE's PAin
No comments:
Post a Comment