"meri mautt ka din"
ek ajeeb si chuppi chai hai ghar mein,
kahin"kuch" kho gayaa hai ghar mein,
koi awaaz nahin,
parr lagtaa hai jaisey,
sannataa bol rahaa hai ghar mein,
hawaa ney halkey sey darwaaza khol diyaa,
mainey halkey sey kamrey ka parda ek or kiyaa,
kya dekhtee huin
sab chup hain,
chehrey murjhaaye sey,
aankhein bhi bharaayee hai,
mai hairaan huin,
yeh sabney kya durdashaa banayee hai.......
mainey awaaz dee,
kisi ney sunee nahin,
mai baukhlayee,
phir ek baar zor sey awaaz lagayee,
wahee sannataa goonja!
mai samajh na payee,
aakhir,
yeh kaisee manhusiyatt hai ghar mein chayee.....
koi bolta nahin hai,
na koi suntaa hai meri,
kiss baat ka shok manaa rahein hain sab,
kya?ho gayaa hai sabko,
kya?kisi ko parwaah nahin hai meri!
mai badhawaas si sabkey chehrey padhney ki koshish karr rahee thee,
meri aankhein na jaaney "kissey"khoj rahee theein......
sab hi to theey ghar mein,
"maa","baba","bhaiya"......
phir,"mai"kissey dhoondh rahee thee?
"2 Ajnabi dost"
No comments:
Post a Comment