*.*.*.*. December lauT aaya hai *.*.*.*
Tumhaare lauT aane ki
naii ummeed jaagi hai
abhi pichhle baras tum ne
mire seene pe sar rakh kar
haya se muNh chhupaaya tha
abhi pichhle baras hi to
December ke maheene meiN
tumheiN baaNhoN meiN thaama tha
magar april aane tak
tumhaari jheel aaNkhoN meiN
sapna samaaya tha
mire chhoTe se aaNgan meiN
tumheiN vehshat si hoti thi
mujhe tum ne bataaya tha
"kisi ki qed meiN rehna
mujhe achchha naheeN lagta
maiN ik aazaad panchhi hooN"
suna hai phir se tanha ho
sitambar ke maheene se
bohat khaamosh rehti ho
k jis ko tum ne chaaha tha
vafa ke naam se us ko
bohat vehshat si hoti thi
voh ik aazaad panchhi tha
kisi ki qed meiN rehna
usay achchha na lagta tha
suna hai mere aaNgan ki
tumheiN ab yaad aati hai
suna hai tum pashemaaN ho
chalo phir aisa karte haiN
December ka maheena hai
naya aaghaaz karte haiN
tumheiN baaNhoN meiN le looN maiN
mire seene pe sar rakh kar
haya se muNh chhupa lo tum
December lauT aaya hai
suno ab lauT aao tum!
"2 Ajnabi dost"
LovE's PAiN
No comments:
Post a Comment