Dec 1, 2009

December Ki Thitherti Aik Shab


December Ki Thitherti Aik Shab
December ki thitherti aik shab woh merey pass ayi
Mujhay kehnay lagi k
Aaj sub kuch chor ayi hoon
Tumharay pyar main saray hi rishtay tor ayi hoon
Woh ghabrayi hui Tooti hui Bhikri hui larki
Mujhay kehnay lagi
Utho!Yahan say door chaltay hain
Bohat hi door chaltay hain
Tumharay bin kisi sooret mujhay zinda nahi rehna
Mujhay zinda nahi rehna Mujhay zinda nahi rehna
Woh zaro zaar ro di
Aur phir mujh main simath ayi
Woh apnay ansoo'on say bus yahi faryaad karti thi
Chalo jaldi karo
Iss sheher say hum bhag chaltay hain
Bohat hi door chaltay hain
Us ik saaet
Yeh mein nay baar_ha socha
K us k kahay per sar jhuka doon main
Yeh socha baar_ha Us ko bhaga kar door lay jaoon
Woh ik tooti hui larki
Woh meray pyar main mehki hui masoom si larki
Mere seenay say lag ker dair tek rooti rahi uss shab
Woh iss ehsas main gum thi
K manzil mil gayi uss ko
Mere khamosh chehray ki taraf woh dekhti
Bus dekhti jati
Us ik saet merey under kayi toofan barpa thay
Na jaanay kis tarha main nay kaha us say
K bus ab laut jao tum
Laut jao...Phir nahi ana
Khudara phir nahi ana
Meri yeh baat sun ker
Us nay bus ik bayyaqeeni say mujhay dekha
Woh lerki shidet_e_Ghem say tarap uthi
Sulag uthi
Woh darwazay ki janib aik dam lapki
Woh larki phir nahi ayi
Woh ik bikheri hui larki
Kabhi wapis nahi ayi
Bohat din baad kal dekha
Usay ik ajnabi k sath gari main
Woh larki kis qadar khush thi
Aur us ki god main piyara sa ik becha humketa tha
Woh larki kis qadar khush thi!
Bohat chaha k mein us ko bhaga ker door lay jaoon
Bohat chaha December ki thitherti raat laut aye"

"2 Ajnabi dost"
03132174713

No comments: