Us nay meray hath main baandha
Ujla Kangan Belay ka
Pehlay pyar say thami kalai
baad us k holay holay pehnaya
Gehna pholon ka
Phir jhuk kar hath ko chom liya
Phool to aakhir phool hi thay
Murjha hi gaye
Lekin mere raaten un ki khusbo say ab tak roshan hain
Banhon per wo lams abhi tak taaza hay
Shakh-e-sanober per ek chand damakta hay
Phool ka Gehna
Prem ka Kangan
Pyar ka Bandhan
Ab tak mere yaad ka hath lipta hoa hay.
"2 Ajnabi dost"
ME & YOU
No comments:
Post a Comment