Nov 16, 2009

"Pagal" woh samjhta hai k


"Pagal"

woh samjhta hai k
mujhe uss sey pyar nahin hai
pagal!
itna bhi nahin jaanta k
meray chehray par bikhray rang
meri muskurahat
meray dil ki taiz dhadkan
mera darpan
meri beyqrari aur pagal pan
meri payal ki chan chan
meri jaan, meri muskaan
meri uss ko har "miss call"
meri yeh behki sii chaal
mera har ang ang
iss baat ka iqraar karta hai k
main uss sey pyar karti hoon
magar woh pagal
sirf zubaan ka iqraar chahta hai
yeh nahin jaanta
k "larki" ki "haan"
uss k har ang sey chalakti hai
suno!
jao aur ussey keh do k
aaye aur aik baar, bas aik baar
mujhe ghour sey dekh ley
ussey yaqeen ho jaaye gha k
main bhi uss sey pyar karti hoon
sirf aur sirf
ussi par marti hoon...!!!

" 2 Ajanbi dost"
   ME & YOU

No comments: