Nov 24, 2009

Eid sey kahoo yun dabey paoonna aya karey


Eid sey kahoo yun dabey paoonna aya karey


Eid sey kahoo yun dabey paoonna aya karey
Yun na hamein Azmaya karey
Kuch rotey huwey logon ko bhi saath laya karey
kuch pyar key deep bhi jalaya karey
Kuch shamein wafa ki dil mein jalaya karey


Eid sey kahoo yun dabey paoon na aya karey
Eid sey kahoo yun na hum ko sataya karey


Har saaal ki tarah is saal bhi beynaam se aik kagaz
Khali khali eid cards jis per kuch nahin likha huwa
Jis par bass kisi ki sisak aur us ki aah chupi hai
Us par baass us key guzray dinon ki faryadein likhi hain


Eid sey kahoo yun dabey paoon na aya karey
Eid sey kahoo yun na hum ko tarpaya karey


Har saaal ki tarah is saal bhi phone aya tha us kaa
Benaam si ik khamoshi thi magar shayad siskian bhi thin saath mein
peechey sey us ki chori ki khanakney ki awaz kuch samja rahi thi
Kuch kehna hai usey bhi magar bhojal us ki bhi palkein hain


Eid sey kahoo yun dabey paoon na aya karey
Eid sey kahoo yun na kisi ka dil dukhaya karey


Ab key baras na us ki koi kher-o-khabar na kuch pata aya
Haan basss Ain Eid key din woh parssaaa kuch chala aya
Buhat karab sey guzra pichley kahin barson sey
Ankhien us ki soyii nahi thi pichley kahin barson say
Ab key jo agaya hai to isey bahon mein jakar liyaa hai
Aur apna bananey ka faisla kar liya hai


Eid sey kahoo yun dabey paoon na aya karey
Eid sey kahoo sirf khushian manaya karey
Eid sey kahoo sirf dil sey dil milaya karey
Eid sey kahoo sab ko pyar dey kar laut jaya karey

Eid sey kahoo yun dabey paoon na aya karey



"2 Ajnabi dost"
LoVE's PaIN

No comments: