December ab kay aao tou
Tum uss shehr e tamanna ki khabar laana
Ke jiss mein jugno'on ki kehkashaain jhilmilaati hein
Jahan titlee kay rangoun sey fazaain muskuraati hein
Wahan chaaroun taraf khushboo wafa ki hai
Aur uss ko jo bhi pouroun sey
Nazar sey chhoo gaya pal bhar
Mehek uthhaa
December ab kay aao tou
Tum uss shehr e tamanna ki khabar laana
Jahan per rait kay zarrey sitaarey hein
Gul-o-bulbul, maah-o-anjum wafa kay istiaarey hein
Jahan dil woh samander hai , jiss kay kaee kinaarey hein
Jahan qismat ki daivee muthhiyoun mein jagmagaati hai
Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nahmein sunaati hai
December ham sey na poocho hamaarey sheher ki baabat
Yahan aankhon mein guzrey kaarwaan ki gard thhehri hai
Laboun per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein
Muhabbat barff jaisee hai yahaan
Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai
Yahan jab subah aati hai
Tou shab kay saarey sapney
Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey hein
Yahan jazboun ki tooti kirchiyaan aankhoun mein chupbhti hain
Yahan dil kay lahoo mein
Apni lakoun koo daboo ker ham
Sunehray khwaab buntey hein
Phir unn khwaaboun mein jeetay hein
Inhi khwaaboun pey martey hein
Dareedah rooh koo lafzoun sey seena goo nahin mumkin
Magar phir bhi
December ab kay aao tou
Tum uss shehr e tamanna ki khabar laana..!!!
"2 Ajnabi dost"
YOU & ME
No comments:
Post a Comment