Nov 29, 2009

''Aisi hi sard shaam thi wo bhi''

''Aisi hi sard shaam thi wo bhi''

aisi hi sard shaam thi wo bhi,
jab wo mehndi rachaaye hathon main
surkh aanchal main moonh chupaaye huay
apnay khat mujh se lainay aai thi
us ki sehmi hui aankhon main kitni khaamosh iltijaayen thin!
us ke chehray ki zard rangat main kitni majboorion ke saaye the!
meray hathon se khat pakarte hi
jaane kia soch ker achaanak wo
mera shaana paker ke roi thi
us ke yaqoot rang honton ke,kapkapaatay hoye kinaron per
sabt beetay huay zamaanay the,
sainkron un kahay fasaanai thae,
sard shaamon main aaj bhi akser
us ki rukhsat ka be sada manzer,meri aankhon main jhilmilaata hai
aik lamha hinaai hathon se mujhay apni taraf bulata hai
''Aisi hi sard shaam thi wo bhi'' 



   "2 Ajnabi dost"
No ONE Is In My LifE

No comments: