Oct 27, 2009

Neend Ki Waadi Mein

Neend Ki Waadi Mein


Neend ki waadi mein
Dilkash Nazaarey hain

Pheley hoye zameen pe

Chaand aur sitaarey hain

Rangon mein dhalta tera aks

Kabhi chanchal si hirni jesa

Naachti hoyi morni jesa

Aabshaaron se girtey hoye

Jhoomtey hoye paani jesa

Ithlaati hoyi mojon ki

Be khud rawaani jesa

Neend ki waadi mein

Dilkash Nazaarey hain

Khushboo ki tarah tera ana

Rooh ko meri Mehkaana

Kabhi sharmana kabhi lajana

Aur phir simaT tey hoye

Meri bahon mein a jana

Be khudi mein gungunana

Be sabab hi muskurana

Merey labon se sawal karna

Aur apney labon se khud batana

Kiya kahoon mein ke kesey

Khaamosh se isharey hain

Neend ki waadi mein

Dilkash Nazaarey hain
 
 
"2 Ajnabi dost"
Silent Tears

No comments: