AJAB PAGAL SI LARKI HAY
Ajab pagal si larki hay
Mujhay har khat mein likhti hay
Mujhay tum yaad kartay ho?
Tumhain main yaad ati hun?
Meri batein sttati hein
Meri neendein jagati hein?
Meri aankhein rulati hein?
December ki sunehri dhoop mein ab bhi tehaltay ho?
Kesi khamoosh rastay say koi awaaz ati hay?
Thetharti sard raton mein tum ab bhi chat pay jatay ho?
Falak kay sab sitaron ko meri batein sunatay ho?
Kitabon say tumharay ISHQ mein koi kami aie?
Ya meri yaad ki shidat say aankhon mein nami aie?
Ajab pagal si larki hay
Mujhay har khat mein likhti hay
Jwaban usko likhta hun
Meri masrofiyat dekho
Subha say shaam office mein
Charaag-e-umar jalta hay
Phir us kay baad dunya ki
Kai majboriyan paoun mein beariyan daal rakhti hein
Mujhay bay fikar chahat say bhalay sapnay nahi dikhtay
Tehalnay, Jaagnay, Roonay ki mohlat hi nahi milti
Sitaron say milay arsaa hua, Naraaz hon shaed
Kitabon say shelf mera, Abhi wesay hi qaeim hay
Farq itna para hay ab
Unhein arsay mein parhta hun
Tumhein kis nay kaha pagli
Tumhein main yaad karta hun
Main khud ko bhulanay ki musalsal justajo mein hun
Tumhein na yaad anay ki musalsal justajo mein hun
Magar yeh justajo meri bohat nakam rehti hay
Meray din raat mein ab bhi
Tumhari shaam rehti hay
Meray lafzon ki har malaa
Tumharay naam rehti hay!!!
Tumhein kis nay kaha pagli
Tumhein main yaad karta hun
Purani baat hay jo log aksar gungunaatay hein
Unhein hum yaad kartay hein jinhein hum bhool jatay hein
Ajab pagal si larki hay!!
Meri masrofiyat dekho
Tumhein dill say bhulaon to tumhari yaad aye na
Tumhein dill say bhulanay ki mujay fursat nahi milti
Aur es musroof jeevan mein
Tumharay khat ka ek jumla
Tumhein main yaad ati hun?
Meri chahat ki shidat mein kami honay nahi deta
Bohat ratein jagata hay mujay soonay nahi deta
So agli baar Khat mein yeh jumla nahi likhna
Ajab pagal si larki hay
Mujhay phir bhi yeh likhti hay

"2 Ajnabi dost"
03132174713
No comments:
Post a Comment