Nov 3, 2010

Sardiyon Ki Raat

Sardiyon Ki Raat

Aaj phir dil udaas hai,

Aaj phir dil bekrar hai,



Aaj phir wohi sardiyon ki raat hai,

Kal phir ek dost,

Ek humdum,



Ek humraz,

Chala jayega dur zindagi ki rah me,

Apne humsafar ko sath lekar



Kuch naye sapne lekar,

Kuch nayee Aashaye lekar,

Kuch naye dost banane,



Kuch nayee manjile pane,

Kuch nayee dard batne,

Kuch nayee khuishyan bikherne..

Jaao dost,



ek naya jahan abad karo

Jab kabhi Aaye hamari yad ,

Jab kabhi pare hamari zarurat,

Jab kabhi milne ko dil karen,



Dena ek Aawaz, paaoge hamen

vahin karib,

Kahin bahut hee karib,

Apne dil ke pas.. ../

Nov 1, 2010

Kitni Sardi Hai

Kitni Sardi Hai PAas Kuch Bhi Nahi
Chalo Aaao Ek Doosre Ko Orh Lain hum...!


"2 Ajnabi doSt" 
 [ t¡M€ pAsS ]

MISSED CALL

[ MISSED CALL ]


Us KhamOosh NumbEr Par

Missed Call Kartay h0


PathrOn Say Khushbu Ka
Tum Sawaal Kartay h0


Kya Khabar Nahi Tum Ko .!!

Rabtay Barhanay Se

Faslay Mitanay Se

Bayshumar Qison Ka

Aitbaar Hisoon ka

Rabt Toot Jata He ..


Qah'qahoon k Sawan mein

Ansoon K Darya ka

Zabt Toot jata he ..


Bain Gunguna'tay Hain

Wasl k Basay Ga'on

Zeray Aab Aatay hain

Aur Kisi k Milnay k

Sirf Khaab Aatay hain

Tum yeh bhi jantay ho

Phir------?Kamaal Kartay ho!

janay wali khushbu ka

Q malaal kartay ho.!!

apnay ek lamhay ko

ek sal kartay ho


uss khamoosh number par


Missed Call Kartay h0. 




"2 Ajnabi dost"
[ t!ME pAsS ]

Man'nat

( Man'nat )

Jab Tum Sham_E_Vidaa Ka

Aakhri Manzar Meri Aankhoon Ko Sonp Kar

Door Ja Chuki To MaiNeY Dekha

K Mere Kurte K Daman Par

Tumhari Zulfoon Ka Ik

Reshmi Sa Baal Reh Gaya Hai

Main Wo Baal Choom K

Waheen Kisi Ek Pairr Ki

Jhuki Hui Shaakh Pe

Baandh Kar

Apne Tareek_O_Shikast
Khurda Muqadar K Saath

Lot aAya Tha!!

Ab Suna Hai K Log

Us Pairr Ki Tehniyoon Pe

Siyaah Dhaage  Baandh Kar

Jaane Waloon Ki Wapsi Ki
MAN'NAT Maangte Hain . . . /



"2 Ajnabi dost"
[ time PAsS ]

Mariz-E-Muhabbat

("*Mariz-E-Muhabbat*")

Mariz-E-Muhabbat,

Unhi Ka Fasana,

Sunata Raha Dam Nikalte
Nikalte..


Magar Zikar Sham-E-Alam Ka Jab Aaya,

Charagh-E-Sehar Bujh Gaya Jalte Jalte..


Unhe Khatt Main Likha Tha !

Dil MuZtrib Hai,

Jawab Unka Aaya "Muhabbat Na karte"..


Tumhen Dil Lagi Ko Kis Ne Kaha Tha,

Behal Jaye Ga Dil Behalte Behalte..

Mujhe Apne Dil ki To Parwa Nahi hai,

Magar Dar Raha Hon K Bachpan Ki Zid Hai,

Kahin Paa-E-Nazuk Main Moch Aa Na Jaye,

Dil-E-Sakht Jaan Ko Masalte Masalte..


Bhala Koi Wada Khilaafi Ki Hadd Hai,

Hisab Apne Dil Main Laga K ToO Socho????

Qayamat Ka Din Aa Gaya Rafta Rafta,

Mulaqaat Ka Din Badalte Badalte..


Irada Tha Tarq-E-Muhabbat Ka Lekin,

Fareb-E-Tabasum Main Phir Aa Gaye Hum,

Abhi Khaa K Thokar Sanbhalne Na Paye,

K Phir Khaai Thokar Snbhlte Snbhlte..


Wo Mehmaan Mere Huye Bhi ToO Kab Tak,

Hui Shama Gul Aur Na DuBe Sitaare,

Umair ! Is Qadar Unko Jaldi Thi Ghhar Ki,

K Ghhar Chal Diye Chaandni Dhalte Dhalte...~*~/





"2 Ajnabi dost"
WantEd LArkA