Itnay dinu baad tumahri yaad aayi tao soocha kyun na tum se kuch baatien kerLoon .. phir kahien waqt k is taiz bhunwar mein mauqay haath se chooth jaaien tao pachtawaey na gheer lein mujh ko ... aaj mauqa haath aaya hai tao waqt ko bhi muthi mien ley beathay tum se do chaar baatien kerne ka mun tha ...
Kitnay bars guzar gaey hein .. tumhe dekhey tum se bat kiey ... Such poocho tao aisa lagta hai keh halaat ki shaakon ne mujeh apni baahon mein ley liya ho ... tumhe aakhiri baar kab dekha sahi se yaad nahi .. haan per itna yaad hai keh shadi se pehlay main tum ko ankhoon se ujhul na rukhti thi .. hum kitna khaila kertay thay yaad hai na??? ... kitnay safur thay aisay ju tunha hum tum chuLtay thay ...
Mujeh yaad hai aik din abbu ne milwaya tha hum ko .. aur miltay hi shanasayi k kitnay dur hum ne saath hi waa kiey thay ...main tao aik hi saans mien bolti hi chuli gayi thi aur tum mujh ko aisay tukti rahien jaisay sub kuch pehlay se jaanti ho .. phir kuch arsaey mien main tum se apni jhoti suchi... choti moti .. sari hi baatien kerne lagi... tumhe yaad tao hoga ? aik din hum tum park k safur per niklay thay.. nanngaey paaon ... !! aur mitti mein khailtay khailtay yukdum hi meri ankhien num num thien .. tum ne chaunk ker' mur ker nazron k taaqub mein wuh munzur dekha ... jis munzur ko main dekh rahi thi ... aik bachi thi choti si ... masoom si guriya .. tum jaisi .. aur abbu os k os ko jhoola jaisay deytay thay .. wuh waisy hasti jaati thi ... .. wuh duno kitnay kush thay na ... main ne tum ko dekha tha aur poocha tha " Guriya !! Kya sub k abbu hastay hein ??? jhoola deytay hien ???" Tum najaney kyun sipaat chehray sung meri aur tukti gaaien.. aisay jaisay ... kuch na ho kehne ko .. mere mun ko behlaaney ko ... aur tum ne mujeh ko apni najaney ulti seedhi baaton mein gum kerke ... khail mein masroof kerlya ...
Tum kehti thien na mujh ko ... mujh mein kuch aisa hai .. ju sirf tum ko dikhta hai .. aur aik din aisa aaeyga keh tum bin bhi main khailoongi aur tunha tunha safur per nikloongi .. main rooti thi aur waday tum se leyti thi keh ... choorh nahi jana mujh ko ... kachi umar ki baaiten bhi na.. ub soochon tao hasti hoon .. per shuker khuda ka kerti hoon keh mujh ko tumahra saath mila
hahaha!!! main kitni pagal hoti thi ... ub shayid tum sooch rahi ho .. itnay barason baad tum ko yaad bahala kyun ker beathi ... Aaj humaray ghur aik tum jaisi guriya aayi hai .. main kush hoon... tum dekhogi tao kahogi keh ankhien meri jaisi hien ... ... aur dekhna tum ..is guriya sung mien baaqi umr guzaaroongi .. aur ub is guriya ko tum jaisa banaoongi ... ju mere sung rehti thi
Chooryaan hath mein thin aur hathon mein uska haath b tha sham-e-tanhayi bhi thi rung aur noor ki barsaat b thi mosamon ka junoon urooj per tha dharkanon per b ikhtiyar na tha
uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein choorhyaan mujhse na pehnayi gayin haan mager hath ghayal ho hi gaye usne nazerein jhuka kar itna hi kaha jayiye aapse nahi bolti aapse itna bhi nahi hota..!!
Ek ladke ne ek ladki ko prapose kiya to ladki ne uske praposel ko thukra diya.Uska dost ye sab dekh raha tha aur dusre din use khush dekh kar usase puchhata hai tum to khus nazar aarahe ho jabki ladki ne to tumhare praposel ko thukara diya, kya tum udas nahi ho ? to wo ladka kahta hai mai udas kyu rahu wo bhi uske liye jo mujhse pyar nahi karti,jabki mai janta hu ki maine use khoya hai jo mujhse par nahi karti udas to use hona chahiye tha ki usne use kho diya jo use sachcha pyar karta tha.
dulhan si sajna chaahun main teri aankhon mein woh chamak ek baar dekhna chaahun main.....
churiyaan khanke jab bhi teri or apne haath badaaun paayal baje jab bhi tere paas aana chaahun main....
phoolon se ghar mehke lage sab cheez saji sajaayi tu mere itne kareeb ho teri hi khusboo lena chaahun main....
ruko thoda lat sawaarun jhumke pehnun ... chehra dekhun aaine mein to lage nah ab to aur sanvarna chaahun main....
sharm se aankhein jhuki meri sochkar hi ke kareeb aaogey
phir ek dastak hui darwaaze pe kismat khadi thee kehne ...ye teri jagah nahin koi aur hai ...woh koi aur hai kuch bhi ho jaaye nahin badal sakti jaise kismat chaahe tu....
utaar di gehne saare... khushboo bhi bikhar gayi lat khuli rahi.. khaamoshi ye ab nahin sehna chaahun main...
haath utha tab bhi rab ki taraf tujhe khushiyaan mile bahot zyaada tu salaamat rahe ... bas yehi kehna chaahun main...
khuda ne bhi diya jawab mujhe dulhan gehno se nahin pyaar se sajti hai kaha ke dil ko sawaaron jahan woh baste hain use na dukhaao jahaan woh rehte hain samaj lo ab...saj lo ab...tum aaj bhi dulhan bani ho ...
Aaj Lamha-e-Tanhai Mein Main Baitha Hua Hoon Aur Apnay Mazi main Jhank Kar Haal Ko Apnay Dekh Raha Hoon Aaj Phir Meri Ankhoon Main Ansoo Aa Gaay Aur Main Mazi Ki Yaadoon Main Khoo Gaya Main Dair Tak Un Manazir Ko Karta Raha Yaad Phir Yoon Apnay Aap Say Goya Hua!
Kitnay Haseen Din Thay Woh
Jab Hum Donoo Issi Jagah Milay Thay Jahan Roshni Tumharay Dam Say Chamakti Thee Jahan Hu`wain Humharay Sath Ma-e-Raqs Theen Jahan Fazaain Hum Say Huma`Waqt Mad`hosh Theen Jahan Suraj Dar Main Chamakta Thaa Jahan Chand Dair Tak Humain Tak`ta Thaa
Jahan Ghantoon Hum Apas Main Baithay Apnay Mustaq`bil Ki Baatain Kartay Thay Tum Aksar Chup Raha Karti Theen Mere Ilfaaz Khatam Ho Jaya Kartay Thay Tum Kabhi Kabhi Meri Ankhoon Main Jhank`ti Theen Main Tumhain Sirf Cheh`ray Say Parha Karta Thaa Tum Jati Theen Mujhey Say Kabhi Rooth Guftgu Say Main Anzada Laga`ya Karta Thaa
Kitnay Haseen Din Thay Woh
Jab Hum Khool Kar Hans`tay Thay Jab Hum Donoo Apas Main Shik`way Gil`lay Shikayat Kartay Thay Kabhi Kabhi Kishi Baat Par Rooth Kar Hum Donoo Aik Dosaray Ko manaya Kartay Thay
Aaj Main Wahan Poocha Toa Tujhey Na Paya Dil Hoo Gaya Udas, Tu Bohat Yaad Aaya
Jis Dar Kay Sath Hum Baith`tay Thay Us Ki Dewar Nay Mujh Say Shikwah Kia Jin Darakhtoon Kay Saaye Main Kartay Thay Baatain In Kay Pat`toon Nay Mujh Say Kia Gila Woh Hawain Jo Tere Baloon Ko Sahla`ti Theen Un Dinoon Aur Raatoon Nay Mujh Say Kia Nala Woh Roshani Jo Teri Saansoon Ko Mahka`ti Theen Us Ki Chandni Nay Mujh Par Gazab Kia Woh Kiranain Jin Say Dahka`ti Thee Teri Arzoo Us Chamak Nay Mujh Par Jabar Kia Woh Phool Jo Teri Muskurahat Say Khil`tay Thay Us Ki Khush`boo Nay Mere Sath Ajab Kia
Main Nay Sunain Dar-e-Dewar Ki Yeh Shikayatain Aur Soocha Tu Nay Mere Sath Kia Zulim Kia Main Phir Baith Gaya Ussi Jagah Par Aaj Jahan Say Kia Thaa Mohabbat Ka Hum Nay Aagaz
Ansoo Abi Bai Thay Jari Aur Ashkoon Ka Raqs Abi Na Thama Tha Ankhoon Main Aubri Aik Shikayat Par Lapoon Par Gila Na Thaa Dil Aakhir Main Be`Ikhtiyar Pukar Utha Aa Ab Laut Aa Mujh Say Ab Hota Nahin Intezaar Mere Viraan Dil Ko qarar Meri Rooh Aur Mere Dil Ko Ab Tu Hi Aa Kay Sambhal
Guriya aaj bhi andhi hai Khailtay khailtay dono main say Aik nay doojay ki guriya ki noch li aankhain Larki .................... .....cheekhi ! Dekho , tum nay meri guriya andhi kar dee Ab sapnay kaisay dekhay gi ??? Larka naadim ho kar bola ...... Main jab abbu jitna ho kar , shehar gaya to , Yeh wada karta hoon tum say , Sab say pehlay , Iss ki aankhain laoon ga Suna hai shehar gaya woh ik din Janay iss k baad huwa kya , Yeh maloom nahi hai lekin Aaj achanak uss larki ko raah main dekha Haath uss k ik guriya thi Haan batlaana bhool gaee main , Guriya aaj bhi andhi hai ....... !
woh pagli si deewani sikuch khoi si anjaani sikhud sai woh baatain karti hikhud sai woh uljhi rehti haikabhi khawaboon ko woh bunti haikhayaloon mein doobi rehti haikabhi chand ko banati hai humrazkabhi kirnoon kai sang jagti haihathoon ki lakeeron ko aksarjanai kyon takti rehti haiwoh kis ko khoojti rehti haiwoh khatbi si deewani sikuch nadaan si kuch sehmi sirangoon kai sang woh chalti haikehti hai khushboo naam merawoh andheroon sai nahi darti haikabhi khawaish sai kabhi armaan saihar lamha raushan karti haiwoh komal si woh kamsin siankhoon main dheroon khawab liyaipalkoon mein tumhein sajati hairahoon mein tumharai bethi wohkitnai hi pal beetati haikabhi aas kai lwoh pagli si deewani sikuch khoi si anjaani sikhud sai woh baatain karti hikhud sai woh uljhi rehti haikabhi khawaboon ko woh bunti haikhayaloon mein doobi rehti haikabhi chand ko banati hai humrazkabhi kirnoon kai sang jagti haihathoon ki lakeeron ko aksarjanai kyon takti rehti haiwoh kis ko khoojti rehti haiwoh khatbi si deewani sikuch nadaan si kuch sehmi sirangoon kai sang woh chalti haikehti hai khushboo naam merawoh andheroon sai nahi darti haikabhi khawaish sai kabhi armaan saihar lamha raushan karti haiwoh komal si woh kamsin siankhoon main dheroon khawab liyaipalkoon mein tumhein sajati hairahoon mein tumharai bethi wohkitnai hi pal beetati haikabhi aas kai lamhoon mein jeetiwoh khawaboon ko mehkati haikabhi wafa ki shama raushan kiyaitumharai naam ka diya jalati haiwoh pagli si deewani sikuch khatbi si anjaani siapni hi baatain sochai jokhud aap hi aap muskaati haidil ki dharkan jo sun lai tokhud hi woh Sharma si jaati haiwoh kehti kuch nahi lekinankhoon sai sab kehjaati haiwoh pagli si deewani sijo tumhein sochti hai har damtumhein panai ki duain karti haiwoh khoi si anjaani situmse mohabbat karti hai...amhoon mein jeetiwoh khawaboon ko mehkati haikabhi wafa ki shama raushan kiyaitumharai naam ka diya jalati haiwoh pagli si deewani sikuch khatbi si anjaani siapni hi baatain sochai jokhud aap hi aap muskaati haidil ki dharkan jo sun lai tokhud hi woh Sharma si jaati haiwoh kehti kuch nahi lekinankhoon sai sab kehjaati haiwoh pagli si deewani sijo tumhein sochti hai har damtumhein panai ki duain karti haiwoh khoi si anjaani situmse mohabbat karti hai..."2 Ajnabi dost"03132174713
Lines to my loveMain aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi,Main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi..Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi..Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi..Woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say,Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi..Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main,Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi..Duain us ki balaon ko rook laiti thin,Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi..Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni,Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi..Usay nadamatain mairi kahan gawara thin,Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi..Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon "jINNU"Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi.."2 Ajnabi dost"03132174713
Agar woh badshah hota to koi bat b hoti suna hai badshahon ko dain asa koi nazrana jo sub cheezon sai ber kar ho to apni badshahi tak luta datai hain woh aksar mohobot hai hamarai pas magar woh badshah kab hai?
"2 Ajnabi dost" 03132174713
~*AURAT*~Yeh sochte guzari hay main ne raatAurat hon kis tarha se karon apne dil ki baatKyun ishi k wasty hain pabandiyan tamamAurat k saath mard ka wabasta kyun hay naamBeti hay jab to baap se pahchani jati hayBivi bhi aik mard ki woh mani jati hayKiya is ki apni zaat ki pahchan hi naheenAurat bas aik''cheez'' hay insaan naheenMalik tha pahly baap to shohar bana hay abJina hay jis k hukam k saye main rooz o shabJo kuch raza thi baap ki sar ko jhuka liyaShohar ko sar ka taaj bana kar saja liyaAurat ki apni soch na apni pasand hayIs par jahan zaist ki har rah band hayJanat mile gi is ko yeh zulam sab sahyHo choor ya sharabi majazi Khuda kahePhir bhi hai khush yeh sochte huweJannat milegi mard ko is k kadam talle" 2 Ajnabi doSt"03132174713