May 7, 2010

Kya pyar karoge mujhse

Dil mera pooch raha hai tumse
Kya pyar karoge mujhse

Dil ki ye dharkan kuch kehti hai
Kehti hai kya dharkan sun lo sanam
Meri in sansoon mein tum hi ho
Bharlo tum bahoon mein kardo karam
Ye behki si sansain poochain
Kya pyar karoge mujhse

Meri in ankhoon mein dekho to
Dekho to ankhoon mein tum zara
Samjho gai jano gai chaha hai
Tum ko hi chaha hai har tarhaan
Bekhud si ye ankhain poochain
Kya pyar karoge mujhse

Khoi si rehti hoon khoi si
Khoi si rehti hoon mein har pal
Tum ko hi sochoon mein dekhoon mein
Chahat mein bikhroon mein pal pal
Ye deewani raahain poochain
Kya pyar karoge mujhse

Khud ko hi paogai mujh mein tum
Mujh mien tum khud ko hi pao gai
Har dharkan mujhse ye kehti hai
Ek din mere tum ban jao gai
Mehki hui ye khawaish poochai
Kya pyar karoge mujhse

Dil mera pooch raha hai tumse
Kya pyar karoge mujhse



"2 Ajnabi doSt" 
   ALoNe LiFE
 

itni jaldi laut ga'ay kiyon?

itni jaldi laut ga'ay kiyon?
abhi to tere sath main janaaN
paoon chalna seekhay thay
itni jaldi laut ga'ay kiyon?
abhi to tere piyar main sangdil
hum kuch hansna seekhay thay
itni jaldi laut ga'ay kiyon?
abhi to apni chahat rut ke
phool mehakna seekhay thay
itni jaldi laut ga'ay kiyon?
abhi to panchi naghmay ga kar
khoob chehakna seekhay thay
itni jaldi laut ga'ay kiyon?
abhi to tum ko samnay paa kar
gaal dehakna seekhay thay
itni jaldi laut ga'ay kiyon?
jahaN bhi ho bass yeh batla do
o baidardi laut ga'ay kiyon?
itni jaldi laut ga'ay kiyon?



"2 Ajnabi Dost"
  ALoNe LiFE 

Amar ho jaooN

Amar ho jaooN.. mar janay say pehlay..
tumhaiN chu looN.. bikhar janay say pehlay..
tum ab zarrah kaho, ya khaak samjho..
maiN sheesha thi.. bikhar janay say pehlay..
safar maiN uski khushbu auRh rakhti..
woh mil jata agar.. janay say pehlay
uRa do yaad k saaray parinday..
jala do sab shajar.. janay say pehlay..
mere aanchal maiN chup kar khoob roya..
woh mujh ko choR kar janay say pehlay..
bohat say an kahay lafzoN k jugnu..
tumhaiN dainay haiN mar janay say pehlay..
musaafir lauT kar aatay kahaN haiN!
woh mera tha.. magar.. janay say pehlay..
yeh behr-e-hijr na gharqaab kar day..
tujhe Mehroo~.. utar janay say pehlay..

aapki aara ka intazar rahay ga..
khush rahiye..



"2 Ajnabi dost"
03132174713

May 6, 2010

Bhalay dinon ki baat hai

Bhalay dinon ki baat hai bhalai si ik shakal thi
Na ye ka hussan taam o na Dekhne me aam si
Na ye k wo chale to kahkahsah si RahGuzar lagy
Magar wo sath ho to bhalay bhalay sa safar lagy
Koi b rut ho us ki Chhat fiza ka rang noor thi
Wo garmiyon ki Chahaon thi wo sardiyo ki dhop thi
Na aisi khus Labasiyan k Sadgi gaila kare
Na itni be takalufi k aaina haya kary
Na Ashiqi janon thi k zindagi azab ho
Na is qadar kahtohr pan k dosti kharab ho
So ik roz kya hua wafa pe behas chehr gai
Mein ishq ko amar kaho wo meri zid sy cher gei
Mein ishq ka aseer tha wo ishq ko kafas kahy
K tamam umar k sath ko bad az-ba-az kahy
Hijr shajar nahi ha ka hamish pa-ba-gul rahy
Na dhol h k na rasiya gale mein mustakil rahy
Muhabton ki wostain humri dast-o-pah mein hain
Bas yahi ik nisbatin dar sy sajan bewafa mein hain
Tumhari soch jo b ho mein is mezaj ki nhi
mujy wafa sy baer hai Ye baat aj ki nahi
Na us ko mujh per maan tha na mujy us pe zon tha
Jo ehad hi koi na ho to kya gum-e-shagistagi
So apna apna rasta hasi Kushi badal liya
Wo apni rah chal Pari
Mein apni rah Chal diya



[JiNNU RidEr]
03132174713 

May 4, 2010

Wo aapne haathon se pilaien

Ik ghazal wo bhi sunaye to maza aaya ga...
Kuch aanso wo bhi bahaien to maza aaye ga...

Keh do saqi se mera gham bohat gehra hai...
Wo nazroon se milaien to maza aaye ga...

Sun ker mera gham wo bohat roien ge...
Aaj phir mehfil mien bulaien to maza aaye ga...

Nafrat he sahi koi rishta to hai qaim...
Wo dushmani bhi nibhaien to maza aaye ga...

Us zeher ko bhi hum jaam samajh lien ge...
Wo aapne haathon se pilaien to maza aaye ga...



"2 Ajnabi dost"
  03132174713