Apr 26, 2010

apnay narm haathon say

Shaam k ujaalo'n mein
apnay narm haathon say

koi baat achi see
koi khuwab sacha sa

koi bolti khushbo
koi sochta lamha

jab bhi likhna chaho gay

soch k dareechon say
yaad k hawalon say

mera naam chup chup kar
tum ko yaad aay ga !

haath kaa'np jaaingay
Shaam ...theher jaay gi !



"2 Ajnabi dost"
03132174713

ik tili machis ki jalai thi

Janey kiyon ik tili machis ki jalai thi,
Ik shola lapka aur.......mey mazi mey kho gia,

Tab bhi ik shola utha tha, jazbat bharkey theey,
Jiski lapait mey meyra sukh, chain sab aa gaey theey,

Ankhoon mey dhuwan utarney laga tha,
Tab mohabbat ney achanak janam liya,

Jiski roshni char simt bikhri thee,
Meyra wajud uss roshni mey madgham ho raha tha,

Wo amm dino ki tarha ka ik din jiski dopeyhar sohani thee,
Sham ka intizar to karna tha, jazbat ney parwan jab charna tha,

Phir sham ayee, rang lai, badan mehka, mann beyhka,
Nazar mili, wo qareeb aa gai, lab miley aur...........

Mehsus hua k shola meyri ungli ki por jala raha hey,
Tili bujhi aur dhuwan deyney lagey,

Meyri mohabbat ki muddat kia thee, yad nahi,
Bas sab dhundla sa hey aj taq, phir ik tili jalai,

Shayad ab shola kuch dair sath dey, aur mey jan sakon,
K wo kiyon kho gai jab ummer bhar sath deyney ka wada tha,

Par, meyri mohabbat ki muddat hee kiya thee,
Ik jalti hoi machis ki tili aur.....dhuwan, bas dhuwan,




[JiNNU RidEr]
 03132174713

Mein kia chahti hon

Agar mein bata don mein kia chahti hon
nazron say apni gira tou na doo gay

Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho
Mujhey koi kari si saza tou na do gay

Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon
Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay

Jo mein bata don meray mun main kia hay
Tum jahan mein tamasha bana to na do gay

Darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay
Tum hansi main baat ura to na do gay

Agar mein bata don mein kia chahti hon
Wafaon k badlay jafa to na do gay
Aur mujh hi say daman chura to na lo gay



[JiNNU RidEr]
  REAL dEviL

Apr 24, 2010

Suno...

Suno...
ussey kehna k Hum khush hain,
Bas..
unki Yaadein satati hain!~~!~

unki Doori ka ghum nahi....
bas Zara
palkein
bheeeeg Jaati hain~!~!

[jINNU RidEr]
 REAL dEviL

Teri ik nigah per nisar hay

Ik bar phir kaho zara, kay meri sari kainaat
Teri ik nigah per nisar hay

Meri teera zindagi ka noor too
Jannat-e-arzi, maiN rashk-e-hoor too
Lazzat-e-jaan, rahat-e-qalb-e-hazeen
Ishrat-e-nazzara, mehvesh, mehjabeen

Ik bar phir kaho zara,
kay too bohat haseen hay
Nigah main shabab ka khumar hay

Sharm kay parday main pinhaan shokhiyan
Muskurahat main nihaan hon bijliyan
Her ada teri mujhay merghoob hay
Dehr ki her cheese say mehboob hay

Ik bar phir kaho zara ,
kay paiker-e-fani hay kya
Kay dil to teri rooh per nisar hay

Jism fani, husn bhi fani mera
Jazb-e-dil lekin hay lafani mera
Mard herjai hay her gul per nisar
Dil magar deti hay aurat aik bar
Ik bar phir kaho zara ,
kay mujh ko ghair ka khayal
Tauba tauba sakht nagavar hay

Man vohi hoon, man badal sakti nahin
Doosray saanchay main dhal sakti nahin
Ab teri taiver, teray qaul aur hain
Man kahan ab qabil-e-ghaur aur hain
Ik bar phir kaho zara ,
kay mera ishq Mehr aur maah
say ziyada paidar hay

Meray sir ki jhooti qasmain kya hooin
Zahiri ulfat ki rasmain kya hooin
Girya-e-paihem vo uljhan kya hui
Aanch ki tezi vo dharkan kya hui
Ik bar phir kaho zara,
kay mera ishq Ustuvar
rooh say ziyada ustuvar hay

Baandh ker ehd-e-vafa torra to kya
Sheesha-e-dil torr ker jorra to kya
Sub samajhto hoon magar maazoor hoon
Dil ki iss feryaad say majboor hoon
Ik bar phir kaho zara,
kay meri sari kainaat
Teri ik nigah per nisar hay....!!!!



[jINNU RidEr]
 REAL dEvIL