Apr 22, 2010

Kisike Sath Main Aur

Kisike Sath Main Aur ,Dil Kisi Ke Sath Raha
Ajab Mazaak Meri Zindagi Ke Saath Raha,

KaMaal Ka BeraheM Mera Wo Mukaddar Tha,
Kinaara-E-Aab Bhi Jo Tishnigi Ke Sath Raha,

Wo Ek Dukh Main Door Chhod Aayi Thi,
TaMaM UMar Meri Zindagi Ke Sath Raha,

Jo Dil Me Baat Thi Hothonse Kis Tarah Ho,
Dil Unki BazaM Mein Ek Bebasi Ke Sath Raha,

Hanse Jo HuM To Aankh Se Aansu Nikal Pade,
HaMesha GaM Koi Meri Khushi Ke Sath Raha...



[Jinnu Rider]
i Feel AlonE

Kash Hath Tumhara Hamara

Kash Hath Tumhara Hamara Yuhi Sada Mila Rahe
Kash Pyara Sa Ye Rishta Yuhi Barqarar Rahe

Chalti Hai Dhadkane Sanson Ke Chalne Se
Kash Yuhi Tum Mere Dil Mein Basi Rahe

Nanhi Si Muskaan Hothon Ki Tumhari
Kash Yuhi Hamein Zindagi Jine Ka Bahana Deti Rahe

Juki Juki Tumhari Ye Shararat Bhari Aankhein
Kash Yuhi Hamein Dunia Se Bekhabar Karti Rahe

Chehre Ki Wo Masumiyat, Baaton Ki Wo Nazakat
Kash Yuhi Mere Dil Ko Bhati Rahe

Sangit Ho Tum Meri Veraan Zindagi Ka
Kash Dhadkan Tumhari Yuhi Sargam Banti Rahe

Chandni To Nahi Bichadti Kabhi Chand Se
Kash Yuhi Sada Tum Mera Sath Deti Rahe

Rawani Ye Pyaar Ki Jo Sansoo Mai Hai
Kash Yuhi Mohabbat Ke Har Mukam Se Guzarti Rahe



[2 Ajnabi dost]
  i Feel AloNE

Who kehta hay

Who kehta hay mujhe tum se pyar bohat hay
Main kehti hon mujhe teri baaton pe etbaar bohat hay
Who kehta hay le jaun ga tujhe apne sath
Main kehti hon mujhe us pal ka intezaar bohat hay
Who kehta hay kabhi socha na tha youn milen ge
Main kehti hon is me hamari kismat ka hath bohat hay
Wo kehta hay phoolu ke sab rang tumhare chehre pe hain aaj
Main kehti hon phoolu ko meri khushi ka ehsaas bohat hay
Who kehta hay or kya khawahish hay tumhari
Main kehti hon mere leye to tumhara sath hi bohat hay
 
 
"2 Ajnabi dost"
i Feel AloNe

Main Yeh Kaise Maan Jaun

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye



[2 Ajnabi dost]
i feeL AlOnE

KHUDA MARA YAR SAY

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN

maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

KHUDA MARA YAR SAY MUJ KO JALD MILA DA.....
 
 
[JiNNU riDer]
I Feel AloNe