Mar 18, 2010

Jb kaanch uthany parh jayen

Jb kaanch uthany parh jayen,

tm hath hmara le jana.

jb khud ko tanha pao to,

tm sath hmara ly jana.

jb smjho jeet muqadar hy,

or rstay hain dushwar boht,

na chahte b tum keh dena,

bay baak sahara ly jana,

jo bazi ab tm jeeto gy,

jo manzil ab tm pao gay,

phir chaho to ye keh dena,

k manzil thi mqsood muje,

kb sath hmara choota hy,

ik muskurahat dy jana,

tm jan hmari ly jana.

jb kaanch uthany parh jayen,

tm hath hmara ly jana.



"2 Ajnabi dost"
KiLLinG AtTitUdE

Mar 14, 2010

SAR GOOSHI

SAR GOOSHI


Us Nay Meray Seenay Per Sar Rakh Kar Pucha

Jana ! Apnay Jeewan Ka Wo Lamha Tu Batao Mujh Ko

Jis Kay Badlay Mil Saktay Hain Sab Hi Setaaray

Darya'on Kay Saray Moti

Saawan Kay Pehli Barish Kay Saray Qatray

Ujlay Chaand Ki Saari Kirnay

Dharti Kay Seenay Say Liptay Sabhi Khazanay

Saray Mousam , Sab Hi Dua'en

Pholon Ki Rangeen Quba'een

Patti Patti Parnay Wali Bheni Shabnam

Ism -e- Aazam

Us Nay Meray Seenay Per Sar Rakh Kar Pucha

Jana ! Apnay Jeewan Ka Wo Lamha Tu Batlaoo Mujh Ko

Jis Kay Badlay Sab Kuch Apna , Sab Kuch, Sab Kuch

Apna Sab Kuch Day Saktay Ho

Main Nay Us Ka Maatha Chooma Or Bola Jab

Pehli Baar Meray Seenay Per Tum Nay Apna Sar Rakha Tha 





"2 Ajnabi dosT"
 I HaTE giRLZz

Mujh ko baatein kab aati hain ?

 
 
 
Mujh ko baatein kab aati hain ?

Main to bus khamosh sa sha'ir

Ulfat chahat ke rango se

Dil ki khali tasveero me

Koi Mohabbat likh deta hoon ...

Aur kabhi deewar se lagkar

Koi Mohabbat ro deta hoon ...

Aur kabhi aankho aankho mein

Saari baatein keh jata hoon ..

Main to ek khamosh sa sha'ir

Mujhko baatein kab aati hain ???

Mujh ko baatein gar aati to

Tum kiya mujh ko chhor kar jaati ???

Mere sapne tod kar jaati ???

Kiya meri aankho mein dukh ke

Itne aansoo dekh sakti thi ???

Mera kul sarmaya tha jo

Kiya mujhse woh le sakti thi ???

Mujh ko baatein gar aati to

Main bhi tumse woh sab kehta

Jo tum sunne ki khwahish mein

Saare raaste bhool aayi ho

Saare rishte bhool aayi ho

Main thera khamosh sa sha'ir

Mujh ko baatein gar aati to

Tum bhi mere khwab sajaati

Yoon na tanha chhor kar jaati

Kaash ! Mujhe bhi baatein aati ......
 
 
"2 Ajnabi dost"
I HAtE GirLZz 

Mar 12, 2010

KAHA NHI THA....

KAHA NHI THA....

ehd_e_farda, smjh k bandhoo,

nibha sko gy......?


mujhy samey ki tamazatoon se,

bacha skoo gy......?


BOHAT KAHA THA.....

shabahton men behal na jana......

mujhy gira k snbhal na jana......

badalti rut men badal na jana......


BOHAT KAHA THA.......


BEHAL GAY NA.......!


kaha nhi tha.......!


SANBHAL GAY NA......!


wahi huwa na.......!


BADAL GAY NA.........!!!!!



''2 Ajnabi dost''
 dnt belve gurlzz 

LaaL Dairy

LaaL Dairy

purane samaan ke saath
phir nikal ke samne aa gai hai..

peele safe
miti hui syahii
par jo likha hai ..
vo dil pe bhi naqsh hai ..
har baar ise door karne ki chaah me
kabhi machan pe uchal diya
kabhi purane samaan me phaink diya
khirki se bahar phainkne me
haath saath nahi dete..

barhaa ghar me chupane ki, dafn karne ki koshish
aur utni hi shadeed koshish
is dairy ki mere saamne aane kii
ye lukachipi kai salon se jari hai
main chup rahi hun
aur mujhe dhoond rahi hai
Meri Dairy .....!!!


'' 2 Ajnabi dost''
dnt blve gurlzz