Jan 24, 2010

*.*. Teri Yaad*.*.





























Kahin chand rahon main kho gaya

kahin chandni bhi bhatak gai

Main charagh woh bhi bujha hoa

Meri raat kaise chamak gai

Meri dastan ka urooj tha

teri naram palkon ki chaoon main

mere sath tha tujhe jaagna

teri ankh kaise jhapak gai

bhala hum mile bhi kya mile

wohi doriyan wohi fasle

Na kabhi humare kadam barhe

Na kabhi tumhari jhijak gai

tujhe bhool jane ki koshishein

kabhi kamyab na ho sakin

teri yaad shakh e ghulab hai

jo hawa chali to lachak gai...!!!
 
 
"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin
 

*.*. Hum Woh Bedard Hain*.*.



















Hum Woh Bedard Hain

Jinhein

Khwab Ganwa Ker Bhi

Neend Aa Jati Hai..!

Soch Soch Kar Bhi

Jin Kai Zehano Ko

Kuch Nahi Hota..!

Toot Phoot Kar Bhi....

Jin K Dil

Dharakna Yaad Rakhte Hain,,

Hum Woh Bedard Hain

K Jin Kai ansoo

Aankhon Ka Rastaa Bhool Jatay Hain

Toot Kar Ronay Ki Khawahish Mein Jo

Baat Be Baat Muskurate Hain

Subah Se pehle marr jaaney ki khwahish mein

Jo Jeetay Hain

Aur jeetay hi chaley jaate hain...!!! 
 
 
"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin
 

yOU Hate Me


"2 Ajnabi dost"
 LovE's PAin

Pichley pher ki raat thi


Pichley pher ki raat thi
Tanhai or us ki yad thi
Chand na mujh se kha
Kon ha main na kha koi khas nahien
Bola zendagi kase hai main na kha kio sath nahien
Bola pher kya chatey ho main na kaha koi ass nahien
Bola tum ne pyar kya he
Main ne kaha kuch yaad nahien,
Bola thumare sath bhi dhoka howa
Mane kaha aisikoi baat nahien
Bola phir ek baat khon tum se
Mane kaha koi aitraz nahi
Bola phir tum na bhi pyar kia ha
Aur wo abhi tere sath nahi
KASH APP HAMAREY HOTEY
 
 
"2 Ajnabi dost"
i HaTe GiRlz 

Abhi Bhooli Nahi Hon


Abhi Bhooli Nahi Hon

Teri yaadon se nazrain churane ki khatir


Dunya ko dekhane ki khatir


Monh phiar k muskorane lagi hon


Tu ye na samjhna


Tujhe bhool baithi hon.



!!!born_dost!!!