Jan 22, 2010

*.*.*. chalo kuch diye jalain .*.*.*.

















chalo kuch diye jalain,
woh diye jo dosti hon,
kisi phol se safar mein,
khushboo ki gard orhay hon,
us tan k paich o kham par,
koi mukhtasir pyar,
paigham sabat karday,
chalo kuch diye jalain,
woh diye jo chahaton k
kisi khawab se safar mein
jazbon k paniyun par,
kai kashtiyan bana kar,
kuch badbaan kholain,
chalo kuch diye jalain,
woh diye jo,
man k andar,
dheray se jagmagain,
kuch harf sar sarain,
kuch khayal jhilmilain,
woh diye,k jin ki hidat,
tan e natawan pe jami hue,
koh'r ko hatain,
ki daagh ko mitain,
chalo kuch diye jalain,
woh diye jo dosti hon....



"2 Ajnabi dost"
   JiNNU JkJ
 

Tum ne jaate huye


Tum ne jaate huye

Halkey se dheemay se andaaz main ye kaha

"BOHAT YAAD AAO GI"

Mai ne aik umer

Is aik jumlay ko

Chaa'dar ki tarha khud pe taanay beeta di

Ab aa k jana ..!

Aisa kehna to teri aadat thi !!!!!!!!!
 
"2 Ajnabi dost"
 i HAtE gIRlz 

"Tumhay KiS Nay Kaha Tha....???





"Tumhay KiS Nay Kaha Tha?
Dopher K Garm Suraj Ki Traf Dekho
Aur Itni Dair Tak Dekho !
K Binaaee Pighel jaey !!!


"Tumhay KiS Nay Kaha Tha?
Aasmaan Say Toot-ti Andhi Bijliyoon Say
Dosti Ker Lo
Aur Itni Dosti Ker Lo
K Gher Ka GHer Hi Jal Jaey!!!


"Tumhay KiS Nay Kaha Tha?
Aik Anjany Safer May
Ajnabi RaahRoo K Humrah Dooor Tak Jao
Aur Itni DooooR Tak Jao!
K Woh Rastaa Badal Jaey!!!

"2 Ajnabi dost"
  i HatE gIrlz
 

Jan 21, 2010

main Aesi Aam Larki Hun


main Aesi Aam Larki Hun
jise Samjha Nahi Koi!!
ju Sare Khel Bachpan K
khilonoun Main Sajati Thi
ju Apne Dil K Sab Manzar
rangoun Se Banati Thi
ju Kuch Pane Ki Koshish Main
yunhi Haley Banati Thi
kitaboun Se Sabhi Haley
jala Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
kisi Din Un Khyaloun Main
muhabbat Ki Chamak Bhi Thi
magr Aesi Chamak Us K
khwaboun Tak Hi Rehti Thi
usi K Un Khwaboun Ne
yunhi Bas Ankh Kholi Thi
parhe Tukre Thay Khwaboun K
bhari Ranjish Se Jholi Thi
usi Jholi K Kuch Dhabbe
mita Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
wo Hansti Khelti Ankhein
yunhi Ashkoun Main Dikhti Thin
wo Zinda Manzaroun K Rang
phatey Kaghaz Main Rakhti Thi
na Bachpan Sath Tha Uske
jawani Uspe Roti Thi
magar Kuch Din Udasi Se
guzarey Ab Thakan Si Hai
ju Tufa_n Ankh Se Guzre
koi Be Bas Jalan Si Hai
jalan Aesi K Jis K Rang
hata Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
usi Khamosh Larki Ko
bohat Batein Batani Hain
muhabbat Main Baharoun Se
koi Khushbu Sajani Hai
agar Chaho Tu Tum Kardo
amar Karni Kahani Hai
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
agar Chaho Samajh Lo Tum
mukammal Aas Kardo Tum
bohat Din Aam Guzre Hain
mujhe Ab Khas Kardo Tum.....!!!



"2 Ajnabi dost"
                                                        i HatE GiRLz
 

Wapis aa jao






Agarchay mien janta hun


waqt kabhi wapis nahi aaye ga....


Mein aksar Qabrastaan jata hun


Qabrastaan k band gate ko dekhta hun, jahan..


Mein ne apni sari Khushian aur umeeden dafn kar di theen


Kabhi na khatam honay wali tanhaai aur dukh...


Woh parinday jo hamesha hamen dekhtay they


Aur chehchahatay they


Ab mujhey akela dekhtay hain.......


Buhat takleef hoti hai


Jab woh mere ird-gird cheekhtay hain


Aisay lamhay mein


Tum buhat yaad aatay ho


Khuda k liye wapis aa jao


Wapis aa jao
 
"2 Ajnabi dost"
 i HatE giRlZ