Kabhi Zindagi Main Kisi Ke Liay Mat ~RONA~
Kun Ke Wo Tumharey ~AANSUON~ Ke Qabil Nahi Hoga ....
Aur Wo Jo Is ~QABIL~ Hoga ....
Wo Tumhain Kabhi ~RONEY~ Nahi Dega ....
Aur jab zaban par chup kay talay lag jain
tou dil main uthnay walay tufan
ander hi ander tor phor kartay rehtay hain
zehan main uthnay wali sochain
wajud ko hila kar rakh deti hain
ankhon main bannay walay aks
dhundlay ho kar
palkon kay peechay kahin gum ho jatay hain
tou phir
tou phir
meri jaan!
alfaz yunhi kaghaz par utarnay lagtay hain
jisay tum shair kehtay ho
Us nay aik baar mujh say poocha kay batao mujhay kitna yaad kartay ho main nay kaha bohat ziada us nay dubara sawal kiya kay phir bhi batao tu sahih aakhir kitna main nay kaha bohat bohat ziada
mera jawab sun kar woh zair-e-lab dheeray say muskurai aur kaha aab mujh say bhi tu poocho
tu us ki muskurahat aur bhi gehri hoti chali gayee halka sa gulabi rang chehray pay aakar phail gaya doobi doobi nazron say mujhay dekha
aur
palkain jhuka kar boli
Pagal!
Yaad tu unhain kiya jata hay jinhain insaan bhool jaye !!!!!!!!!
tum waqai achi larki ho ya mujh ko achi lagti ho
chahrey ki udassi door karo
kiya ji apna ranjoor karo
tum bhool gai mujhey yad raha
kiya shaan tumhaari ghat jati
jo aifa karnei aajati
ab kin bato mei khoi ho
chahrey ko zara uthao tou
ankhein bhi chaar ker dekho
gham choro dil ki baaat karo
tum hansti achi lagti ho..