Dec 17, 2009

Aye School Tujhay Hum Bhola Na Sakengay,,





Aye School Tujhay Hum Bhola Na Sakengay,,
Teri Yad Dil Se Mita Na Sakeingay...


Sapno Ki Nagri Woh Pariyon Ka Daira,
School Ki Yaon Mein Sadiyon Ka Phaira,
Woh Bachpan K Din Woh Mosam Suhanay,
Woh Desk Bajana Woh Ganay Sunana,

Aye School Tujhay Hum Bhola Na Sakengay,,
Teri Yad Dil Se Mita Na Sakeingay...


Guzar Gaye Sab Din Hanstay Hansatay,
Gaatay Bajatay Picnic Manatay,
Woh Teacher Se Chupna Woh Principle Se Chupna,
Yeh Sab Baat Dil Se Bhula Na Sakeingay,

Aye School Tujhay Hum Bhola Na Sakengay,,
Teri Yad Dil Se Mita Na Sakeingay......!!!


"DEDICATED TO ALL SCHOOL LIFE.....!!!"
 
LovE's pAin

Muhabbat jin se hoti hai


Muhabbat jin se hoti hai



Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka der her waqt DAMAN GEER rahta hai
Yaqeen ki akhri manzil pe aa kar bhi
Koi khadsha, koi shak, koi andesha
Buhat bechain rakhta hai
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Kahin yeh visaal ke lamhe
Badal jayain na furqat main
Kahin ye qurb ki gheriyan
Judai main na dhal jayain
Kahin aisa na ho k koi usko badgumaa kar de
Kahin aisa na ho k
Jis ko hum ne hasil-e-umr-e-rawan samjha
Jhatak kar hath wo bedard sab kuch raigaan kar de
Kahin aisa na ho k
Wo meharbaan ankhain badal jayen
Kahin aisa na ho k
Ye garamjoshi sard par jaye
Tapaak-e-jaa’n se milne ki rawish
Yakh basta ho jaye
Ada’e dilbarana berukhi ka roop dhare
Aur dil ka dard ban jaye
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Kabhi mahfil mai sab ke samne wo ahtiyatan bhi
Agar nazrain churaye tou dil pe thees lagti hai
Ansoo’n ka mena barasta hai
Kabhi masrofiat mai, mahwiyat main
Phone ki ghanti ka wo notice na le
Aur rabte ka silsila moqoof ho jaye
Dharak uthta hai dil
Kya janiye kya ho gaya us ko
Tawajja main kami kyun agai…?
Kyun us ki janib ik sannata sa chaaya hai….?
Jo apna is qadar apna tha
Akhir kyun paraya hai..?
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
 
 
"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin

SAANS LEHNE KE LIYE WAQT NEHIN


SAANS LEHNE KE LIYE WAQT NEHIN


Har Khusi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ekk Hansi Ke Liye Waqt Nehin.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindegi Ke Liye Hi Waqt Nehin.


Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nehin.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhen Dafnane Ka Bhi Waqt Nehin.


Saare Naam Mobile Mein Hai,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nehin.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Waqt Nehin.


Aankhon Mein Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nehin.
Dil Hai Gaamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi waqt Nehin.


Paison Ki Daud Mein Aise Daude,
Ki Thakne Ka Waqt Nehin.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapno Ke Liye Bhi Waqt Nehin.


Tu Hi Baata E Zindegi,
Iss Zindegi Ka Kya Hoga,
Ki Har Paal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nehin....... ......
 
 
"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin

Itna Waqt Kyun Lagta Hai

Itna Waqt Kyun Lagta Hai







Khushi Jo Nazar Main Nahi Hai
Par Samakash Khari Hai
Us Ko Prateet Honay Main
Itna Waqt Kyun Lagta Hai?




Gham Jo Nazar Main Ade Hain
Per Dorr Kharay Hain
Unko Andekha Honay Main
Itna Waqt Kyun Lagta Hai?




Khushi Main Zindagi Hai
Zindagi Main Ghum Hai
Yaani Khushi Ghum Say Bari Hai
Pher Aanso'oon Ko Sukhanay Main
Itna Waqt Kyun Lagta Hai?




Muskuranay Kay Liye Kyun Waja Dhoondtay Ho?
Jab Aansoo Bina Puchay Galoon Pay Lurak Jatay Hain
Jeena Shuroo Karo Tu Zindagi Bohat Lambhi Hai
Subkiyoon Say Khilkhilahat Bari Hai
Gehri Hai Mager Aah
Tu Muskurahat Aasan Hoti Hai
Phelana Tu Shoro Karo
Yeh Lakeer Bohat Dorr Tak Jati Hai
Tumhara Cheray Say Ho Kar
Kese Kay Dil Main Utar Jati Hai
Kese Ke Nazar Main Bas Jati Hai
Per Tumhay Us Aah Ke Aawaz Mitanay Main
Itna Waqt Kyun Lagta Hai.???

"2 Ajnabi dost"
   LovE's PaiN

Aur waqt thhum saa guya

Aur waqt thhum saa guya




Khuda ki ibaadat ki daggar,
Ik andekhi raah ka safar,
juzbaate bandagi ka ehsaas,
Junun-e-parastish ki intehaa,
Aur waqt thhum saa guya,

Muhabbat ki baahon ke gheyre,
Mudmast si aankho ke deyre,
Ishq ka anokha thha assar,
Yeh kaisi khushnuma si jannat,
Aur waqt thhum saa guya,

Yarub teri chaahat ki tarrap,
Mehkatte khwaabo ki kassak,
Nasheele honthon ka ehsaas,
Behkatte saanson ka toofaan,
Aur waqt thhum sa guya,

Ishq ka khoobsoorat nazraana,
Chherh ke dillon ka afsaana,
Behkatte armaano ka woh silsila,
Kub na jaane kidhar kho guya,
Aur phir yeh waqt jo thumma...

To ta-qayaamat thhum hi guya...
haan haan
ta-qayaamat thhum hi guya...
 
 
"2 Ajnabi dost"
 LovE's PAin