Dec 13, 2009

Ajeeb Pagal Larka Hai

Ajeeb Pagal Larka Hai



Ajeeb Pagal Larka Hai
Pehle Rulata Hai Phir Hasata Hai
Kehta Hai Mein Choorh Jayoonga Tujhe
Phir Doosre Pal He Mujhe Appna Kehta Hai
Pehle Door Hone Ki Baat Karta Hai
Phir Mere Bagair Mar Jane Ki Baatein Karta Hai
Pehle Ghussa Hota Hai
Phir Pyaar Se Manata Hai
Pehle Saath Rehne Ke Waade Karta Hai
Phir Na Jane Kyun Un Waadon Ko Bhool Jata Hai
Pehle Ghalti Karta Hai
Phir Ush Ki Mafi Mangta Hai
Na Jane Mujhse Kya Chahta Hai
Pehle Appna Bana Keh
Phir Paraya Bana Deyta Hai….!!
Ajeeb Pagal Larka Hai..
Na Jane Mujhse Kya Chahta Hai

"2 Ajnabi dost"

  LovE's PAin

Aksar Mujhe Pagal Kehta Hai


Woh
Aksar Mujhe Pagal Kehta Hai
Aur Mai
Sochtee Hoon Kay
Mujhe Pagal Bananay Wala
Mujhe "Pagal" Kyun Kehta Hay

"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin

HUNS KER TAAL DETIN HOO'N




Kis sooch may doobay retay ho ?
Kyon soay soay Bethay ?
Koi mujh say jub yeh pochta hay
Keh kis ko yeh dil pojta hay ?
Kuch lafz uchhal deti hoo'n
Mein huns ker taal deti hoo'n.

"2 Ajnabi dost"

Nick Name..!!

Nick Name..!!





Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!

"2 Ajnabi dost"

Chooryaan hath mein thin


Chooryaan hath mein thin
aur hathon mein uska haath b tha
sham-e-tanhayi bhi thi
rung aur noor ki barsaat b thi
mosamon ka junoon urooj per tha
dharkanon per b ikhtiyar na tha

uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha
kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein
choorhyaan mujhse na pehnayi gayin
haan mager hath ghayal ho hi gaye
usne nazerein jhuka kar itna hi kaha
jayiye aapse nahi bolti
aapse itna bhi nahi hota..!!

Poet:JiNNU Ajnabi



"2 Ajnabi dosT';'