Jan 11, 2011

dEdic8 To JiyA

Kitna saroor raat ki
tanhaiyoun may tha ,
Chup tha chand
jaise ruswaiyoun may tha,
l...oug jaag rahe thy ibadat k liye,
......Aur koi teri yaad ki Gehraiyon may tha. .!!!



"2 Ajnabi dost"
  tHeif Of HEart

Jan 10, 2011

dEdic8 To JiyA

Tanha rehna seekh raha hoon
Mar kay jeena seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya... hai
Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon

Phirtay, phirtay sehra, sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon

Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh raha hoon

Jeenay kay hain ajab taqazay
Zinda rehna seekh raha hoon

Madhooshee nay bohat sataaya
Hosh main rehna seekh raha hoon

Barson guzray phir bhi ab tak
Maan say bichcharna seekh raha hoon

Dar kar zehar kay pyaalay say
Such ko chupaana seekh raha hoon

Rotay rotay auron par
Khud pay hasna seekh raha hoon

Ghum nay mujh ko bohat hai khaya
Ab gham khana seekh raha hoon

Is pay hairan hotee hoon
Kartab, kya kya seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon



"2 Ajnabi dost"
   Imegine Boy

dEdic8 To JiyA

Tumharay raah badalney ki baat kis se karon
mein apnay khawb bikharnay ki baat ki...s se karon

abhi wo jaan-e-ghazal duur hai nighahon se
abhi mein jaan se guzernay ki baat kis se karon

abhi to hijer ki taarikiyaan hain chaaron taraf
abhi mein chand nikalnay ki baat kis se karon

abhi to apnay ghamo se nidhaal hain sabhi
abhi mein teray bicharney ki baat kis se karon



"2 Ajnabi dost'"
 bRoken hEArt

dEdic8 To JiyA

kiya likhain is kaghaz per,
ab likhnay ko kiya baki hai,
ik dil tha so wo toot gay...a,
ab lutnay ko kiya baki hai,
ik shakhs ko hum ne chaha tha,
kuch rait per naksh banaya tha,
wo rait to kab ki bikhar gai,
wo naksh kahan ab baki hai,
ab kiya likhain is kaghaz per,
ab likhnay ko kiya baki hai,
wo jin ko hum apni nazmoun ka,
unwan banaya kartay thay,
wo lafzoun ka bana kar taj mehal,
kaghaz per sajaya kartay thay,
wo hum ko aikala chor gaya,
ab chornay ko kiya baki hai,
ab kiya likhain is kaghaz per,
ab likhnay ko kiya baqi hai……… !! <~>



"2 Ajnabi dost"
   bEwAfA

ajeeb Shart rakhi

Us ne Milnay ki bhe ajeeb Shart rakhi dost
Khusk Patton per aana magar Aahat na h...o ...!! <~>



"2 Ajnabi dosT''
   Alone bUt HaPpy