Nov 4, 2010

Aaj phir us ka phone aaya he

Aaj phir us ka phone aaya he

Aaj phir poocha kasay ho

Kia kertay rehtay ho

Kiya aab bhi awara phirtay ho

Ya chain say ghar main rehte ho

Kia aab bhi kisi ki yaad mai khoay
Kaghaz kalay kerte ho

Kia aab bhi kisi ko Nazmein aor geet sunaya kerte ho !!


Aaj phir us ka phone aaya he
Aaj phir poocha kasay ho !!

Aab hum us ko yeh kasay batein

Q ker batein K mananay walay

Chand nager k sodai Dil wehshi,thamay donoo hathoon main

Jungle jungle,
sehra sehra
Shehroon shehroon,
wadi wadi,
Kabhi iss nagri,
kabhi uss qaryey main
Kabhi iss basti k ek kochay main

Jis chand ko apnay m0nh main basa lien

Bus us ko hi talasha kertay hain ..


Chahay apnay ghar k aangen main

Pora chand hi uttra ho ..


Aab hum us ko yeh kaisay batein.




"2 Ajnabi dost"
[ time pAsS ]

^^ Iraada ^^

^^ Iraada ^^

Darya mein

Katray ki Soorat

Gum ho Jaaon

Apne Aap se bahar niklon

"Tum" ho jaaon..!!!


''2 Ajnabi dost"
[ t!me pAsS ]

Mujhe pyar karna sikhao

Mujhe pyar karna sikhao k Rat kat jaye,

Sb doria mitao k Rat kat jaye,

Sanson ki garmi se meri pyas bujhao k Rat kat jaye,

Honto ko mere honto se milao k RAT kat jae
Mujhe apni agoosh main sulao k rat kat jae

Ye door rehna tumhara mujh sy ek azaab hai jaan
Mery pass to aao k rat kat jae.


"2 Ajnabi dost"
rOmAntic KiLLEr

HuM TuM Tanha ßathye hon

HuM TuM Tanha ßathye hon
Aur
HaLk¡ HaLk¡ ßar¡sh ho..

Kuch Kap'KapaTe honT hon
Aur
ßheeg¡ ßheeg¡ Aankhe¡n hon..!!

ßar¡sh K¡ ßondon Ka
Asar na ho Ko¡..

Saanson mE ¡Tn¡ Garm¡ ho..

RaaT Ka ho SannaTa ßh¡..

Qadam ßehakne Ka Dar ßh¡ ho..

SaMa Ja¡n Ek Duje mE HuM..

Guzar Ja¡n har Had sE HuM..

Mad'Hosh ho Ja¡n PYAR mE..

Mehak Jaye Wo RaaT ßh¡..

Kash Kaßh¡ to A¡sa ho..

HuM TuM Tanha ßathye hon
Aur
HaLk¡ HaLk¡ ßar¡sh ho..



"2 Ajnabi dost"
[ time pAsS ]

Nov 3, 2010

Sardiyon Ki Raat

Sardiyon Ki Raat

Aaj phir dil udaas hai,

Aaj phir dil bekrar hai,



Aaj phir wohi sardiyon ki raat hai,

Kal phir ek dost,

Ek humdum,



Ek humraz,

Chala jayega dur zindagi ki rah me,

Apne humsafar ko sath lekar



Kuch naye sapne lekar,

Kuch nayee Aashaye lekar,

Kuch naye dost banane,



Kuch nayee manjile pane,

Kuch nayee dard batne,

Kuch nayee khuishyan bikherne..

Jaao dost,



ek naya jahan abad karo

Jab kabhi Aaye hamari yad ,

Jab kabhi pare hamari zarurat,

Jab kabhi milne ko dil karen,



Dena ek Aawaz, paaoge hamen

vahin karib,

Kahin bahut hee karib,

Apne dil ke pas.. ../