Oct 17, 2010

Bheer mein aik ajnabi ka

Bheer mein aik ajnabi ka saamna acha laga
Sab say chup kar woh kisi ka daikhna acha laga



Surmai Aankhon kay neechey phool say khilnay lagay

Kehtay kehtay kuch kissi ka souchna acha laga



Baat toh kuch bhi nahin thi lekin "us" ka aik dum

Haath ko honton pay rakh kar rokna acha laga



Chaa'ey mein cheeni milana us ghari bhaaya bohat

Zair-e-lab woh muskurata "shukria" acha laga



Dil mein kitnay aehad baandhay thay bhulanay kay ussay

Woh mila toh sab iraaday torna acha laga



Uss udoo-e-jaan ko Amjad~ bura kaisay kahoon

Jab bhi Aaya saamnay woh be-wafa acha laga
 
 
 
"2 Ajnabi dost"
WANtEd LArkA

Teray Galay Mein Jo Baahon Ko

Teray Galay Mein Jo Baahon Ko Daal Rakhtay Hein,
Tujhe Mananay Ka Kaisa Kamaal Rakhtay Hein,

Tujhe Khabar Hai Tujhe Sochnay Ki Khatir Hum,
Bahut Say Kaam MuQaddar Pay Taal Rakhtay Hein,

Koi Bhi Faisala Hum Souch Kar Nahi Kartay,
Tumharay Naam Ka Sikka Uchaal Rakthay Hein,

Tumharay Baad Yeh Aadat Si Ho Gayi Apni,
Bikhartay Sookhtay Pattay Sambhaal Rakhtay Hein,

Khushi Si Milti Hai Khud ko Aziyatein Day Kar,
So Jaan Boojh Kay Dil ko Nidhaal Rakhtay Hein,

Kabhi Kabhi Woh Mujhe Hans Kay Daikh Letay Hein,
Kabhi Kabhi Mera Behad Khayaal Rakhtay Hein,

Tumharay Hijar Mein Yeh Haal Ho gaya Apna,
Kisi ka Khat Ho Ussay Bhi Sambhaal Rakhtay Hein,

Khushi Milay Toh Teray Baad Khush Nahi Hotay,
Hum Apni Aankh Mein Har Pal Malaal Rakhtay Hein,

Zamanay Bhar Say Bacha Kar Woh Apni Panaah Mein,
Meray Wajood Kay Tukray Sambhaal Rakhtay Hein,

Kuch Is Liye Bhi To Behaal Ho Gaye Hum Log,
Tumhari Yaad Ka Behad Khayal Rakhtay Hein...
 
 
 
"2 Ajnabi dost"
ALtEr Of FathEr

Oct 7, 2010

Uska Sitam Bhi

Uska Sitam Bhi Adal Se Khaali NAhi. . . .

Dil Le K Shayeri ka Saleeqa Diya Mujhe. . . . . |


"2 Ajnabi dost"
YOU + ME=NEVER

Oct 5, 2010

Koi Raat NAhi

GUM Sum Ankhen,Sooni Sensein,
Tootti jurti Umeedain 

dArta Hoon Yun Kaisay KAtay Gi?

Umar hai, Koi Raat NAhi. . .!!!


"2 Ajnabi dost"
FAthEr OF ALtEr

Oct 4, 2010

mujhe Tu YAad Agai

 
            Just 4 Jiyaaaa. .  . . /
janay Kyun Mujhe Tu YAad Agai,
Yaadon mAy Meri Kyun Ajj Agai. . . . /

May Kuch Bhi Nahi TEray Bina
MAy JAon Kahan Teray Bina. . . ./
 
 
"2 Ajnabi Dost"
You + ME = NEVER