Jun 6, 2010

Kbi barish brsti hai



Kbi barish brsti hai

to mujko yad ata hai

Wo aksr mujse kehti thi

Mohabat aik barish hai

Sabi pe jo brsti hai

Mgr phir b nhi hoti

sbi k waste yksan Kisi k waste rahat

kisi k waste zehmat

main aksr sochta hun ab

wo mujse theek kehti thi,

Mohabat aik barish hai

Sabi pe jo brsti hai

kbi mujh pe b brsi thi

Mgr mere liye barish

kbi na bn ski rahat

Ye rahat Q nhi banti

Kbi mein khud se puchoon to

ye dil deta duhai hai

kbi kachay makanoan ko

b barish raas aai hai..?
 
"2 Ajnabi dost"
miSSing U GurIyA

pasine pasine hue jaa rahe ho


pasine pasine hue jaa rahe ho

ye bolo kahaan se chale aa rahe ho

hamen sabr karane ko kah to rahe ho

magar dekh lo Khud hii ghabara rahe ho

ye kisaki buri tum ko nazar lag gai hai

bahaaron ke mausam men murjha rahe ho

ye aaina hai ye to sach hi kahegaa

kyon apani haqiqat se katara rahe ho

"2 Ajnabi dost"
miSSing u GurIyA

kuch yadain hain un lamhoon ki,

kuch yadain hain un lamhoon ki,

jin lamhoon main hum sath rhay,

khushion say bharay jazbat rhay,

ek umr guzari hai hum nay,

jahan rotay huay b hastay thy,

kuch kehtay thay,

kuch suntay thay,

hum roz subah jab miltay thay,

tu sub k chehray khiltay thay,

pur lutf wo manzar hota tha,,

sab milkr batain kertay thay...

hum soocho kitna hanstay thay....................

wo gooonj hamari hansnay ki..

ab aik purani yad buni,

yh batain hain un lamhoon ki jin lamhoon main hum sath rhay........


"2 Ajnabi dost"
GurIyA KiLLEr

chalo naee anay wali kal main

meri nazar main ubhar raha hai
wo ek lamha
k jab kisi ki haseen zulfon ki narm chaaon main aankh moonday
gaye dino ka khayal kar k
tum ek lamhay ko kho si jao gay or shayad
na chah kar bhi udas ho gay
to koi sheereen nawa ye poochay gi
meri jan tum ko kia hua hay ?
ye kis tasawur main kho gay ho?
tumaharay honto pe subah ki awaleen kiran ki tarha ubhray gi muskurahat
tum us k rukhsaar thapthapa k
kaho gay us se
"main ek larki ko sochti thi
ajeeb larki thi kitni pagal!!"
tumaharay sathi ki khoobsoorat jabeen pe koi shikan banay gi
to tum baray piyar se haso gay
kaho gay us se
"aray wo larki
wo mere jazbaat ki himaqat
wo is qadar bay waqoof larki
mere liye kab ki mar chuki hay"
phir apnay sathi ki narm zulfon main ungliyan phairtay huay tum
kaho gay us se
"chalo naee anay wali kal main
ham apnay maazi ko dafn kar dain " ..



"2 Ajnabi doSt'
[B|aCk LiStEd]

Ik Pagal Pagal Si Larki

very simple person


Ik Pagal Pagal Si Larki
Dil Toornay Se Darti Thi
Har Pal Har Lamha
Khud Se Woh Jhagarti Thi
Ansoo Kiun Aye Kisi Ankh MaY
Mujrim Khud Ko SamAjhti Thi
Ghuut Ghuut K Jeeti Rehti Thi
Har Sans Ulajhti Rehti Thi

Soo Baar Kaha
Aaay Nadan Larki
Dunya Ko Dekhna Choor Day
Khud Se Ulajhna Choor Day
Pal Pal Bikherna Choor Day
Yahan HAASSASS Dil To Koi Nahi
Yahan Nazuki Say Kaam Na Lay
Yahan Pather Ban-na Parta Hai
Yahan Reham dilli Say Kaam Na Lay

Soo Barr Kaha Par Kaisi Nasamjh thi
Dunya Ko Sub Samujhti Thi
Phir Wohi HoVa Jo Hona Tha
Dil Toota Uska Jiska Ussay RoOna Tha
BHAROSAY Ki Deewar Girri
SARD LEHJAY Haar Baar MilaY
Phir Simat Gaye Apni Zaat MaY
Tamaam Dukhon Ko Samaitay Anchal Main
Ankhon Main Jazbaat Nahi

Pahlay Say Halaaat Nahi
Farq Srif Itna HoVa
Khud Apni Zaaat Ko TOOR Dia
TanhayeyoOn Se Rishta Jorr Dia
Phir Tanha Tanha RehnAy Lagi
Phir Khud Ko Pather Kahnay Lagi

WOH IK PAGAL PAGAL SI LARKI
JO DIL TOORNAY SE DARTI THI

"2 Ajnabi dost"
 bLaCk LiStEd