May 3, 2010

ik meherbani

Jatey Jatey ik meherbani aur ker


Yeh baqi chand sansain apney nam ker


Mout ko Merey Humsafer Ker!!!
 
"2 AJnabi dost"
M3  & YOU 

~ Khawahish ~

~ Khawahish ~

Tujh ko pana meri ik khawahish Hai Jaana,
Per Har khawahish puri ho ya lazim to nahin. . . ./


"2 Ajnabi dost"
  ME & YoU

Ik Derya Tha Aur Kinara Tha

Ik Derya Tha Aur Kinara Tha ….
Mera Gaun Bohat Hi Piyara Tha ….
Chhat Tapkti Thi Barishun Main Khabi ….
Ghar Tha Kacha Magar Humara Tha ….
Hath Sar Par Kissi Ka Honay Se ….
Dil Ko Dharas Si Thi Sahara Tha ….
Chor Ker Sab Wahan Chelay Aey ….
Hum Ko Dewangi Ney Mara Tha ….
Ghar Ki Har Cheez Bhikri Bhikri Thi ….
Mera Dil Bi Tu Para Para Tha ….
Paoun Pakray Sehan Ki Matti Ney ….
Aur Mounh Dekhta Chubara Tha ….
Dil Jo Sawan Main Mil Ke Dherkay Thay ….
Ik Tumhara Tha Ik Humara Tha ….
Lay Chalo Phir Mujay Wahin Janab ….
Main Nay Bachpan Jahan Guzara Tha ….
 
 
"2 Ajnabi dost"
ME & YoU 

Sath De sako Tu sath Du

Bara kathan hai raasta, jo aasako toh saath do
Yeh zindgi ka faasla mita sako toh saath do

Bare fareb khao ge, bare sitam uthao ge
yeh umar bar ka saath hai, nibha sako toh saath do

Jo tum kaho yeh dil toh kiya mein jaan bhi fida kar doon
Jo main kahoon bus ik nazar luta sako toh saath do

Hazar imtihaan yahan, hazar aazmaishain
hazar dukh, hazar ghum utha sako toh saath do

ye zindgi,yahan khushi ghamon ka saath saath hai
rula sako toh saath do, hansa sako toh saath do.


"2 Ajnabi dost"
   ME & yOU
 

Jawab Zaroor dena

"Jawab Zaroor dena, Aanso saaf karnay wala, dil k zaida kareeb huta hy? ya Aansi dainay wala zaida kareeb huta hay?.....!!!!"

Reply mst 0313-2174713

 

[2 AJnabi dost]

  LOvE's Pain