Apr 3, 2010

Aafreen, Aafreen,

Husn-e-Jaana Ki Taareef Mumkin Nahin

Aafreen, Aafreen,Aafreen, Aafreen

Too Bhi Dekhe Agar To Kahe Ham-Nashin

Aafreen, Aafreen,Aafreen, Aafreen





Aisa Dekha Nahin Khubsurat Koi

Jism Jaise Ajanta Ki Murat Koi

Jism Jaise Nigahon Pe Jadu Koi

Jism Nagma Koi Jism Khushboo Koi

Jism Jaise Machalti Hui Raagini

Jism Jaise Mehakti Hui Chaandni

Jism Jaise Ke Khilta Hua Ik Chaman

Jism Jaise Ke Suraj Ki Pehli Kiran

Jism Tarsha Hua Dil-Kash-o-Dil-Nashin

Sandali Sandali, Marmari Marmari

Aafreen Aafreen

Chehra Ik Phuul Ki Tarah Shadab Hai

Chehra Uska Hai Ya Koi Mehtaab Hai

Chehra Jaise Ghazal, Chehra Jaan-e-Ghazal

Chehra Jaise Kali, Chehra Jaise Kanwal

Chehra Jaise Tasavvur Ki Tasveer Bhi

Chehra Ik Khwaab Bhi Chehra Tabeer Bhi

Chehra Koi Alif Lailavi Daastaan

Chehra Ik Pal Yaqeen Chehra Ik Pal Gumaan

Chehra Jaise Ke Chehra Koi Bhi Nahin

Mah-Rooh Mah-Rooh, Mah-Jabin Mah-Jabin

Aafreen Aafreen


Aankhein Dekhi To Main Dekhta Reh Gaya

Jaam Do Aur Donon Hi Do Aatishah

Aankhein Ya Maikade Ke Ye Do Baab Hain

Aankhein Inko Kahuun Ya Kahuun Khwaab Hain

Aankhein Neechi HuiiN To Haya Ban Gayii

Aankhein Oonchi HuiiN To Dua Ban Gayii

Aankhein Jhuk Kar UthiiN To Ada Ban Gayii

Ankhen Uth Kar Jhuki To Kaza Ban Gayii

Aankhein Jin Mein Hain Qaid Aasmaan-o-ZamiiN

Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi

Aafreen Aafreen


Zulf-e-Jaana Ki Bhi Lambi Hai DaastaaN

Zulf Ke Mere Dil Per Hai ParchaiyaaN

Zulf Jaise Ke Ummdi Hui Ho Ghata

Zulf Jaise Ke Ho Koi Kaali Bala

Zulf Uljhe To Duniya Pareshaan Ho

Zulf Suljhe To Ye Geet Aasaan Ho

Zulf Bikhre Siyaah Raat Chhaane Lage

Zulf Lehraaye To Raat Gaane Lage

Zulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni Hasiin

Reshmi Reshmi, AmbariiN Ambariin

Aafreen Aafreen,Aafreen Aafreen,Aafreen Aafreen



"2 Ajnabi dost"
No ObBjEcTiOn

Apr 1, 2010

Dil Ke Sawaal..

Dil Ke Sawaal..

Khabhi Socha Hai Tu Nay Dil Kia Kheta Hai?
Khabhi Socha Hai Kia Hota Jab Dil Toot ta Hai?
Kitna Dard HotaHai …
Jab Aapnoo Say Khauff Hota Hai …
Woh Manzar Bhi Kia Manzar Hota Hai ..
Jab Tu Kareeb Reh kar Bhi Door Hota Hai …
Kitna Kamzor Vo Shakhs Hota Hai …
Jo Dost He Ko Dhoka Deta Hai …
itna Bandnaseeb Woh Q Hota Hai …
Jo Majmay Main Bhi Aakela Hota Hai…
Judaee Ka Ghum Bhi kia Ghum Hota Hai…
Kyioun Her Koi Mujh Say Sawal Karta Hai ..
Kyioun Mera Dil Her Bar Roo Deta Hai ..
Abb Tu Saya Bhi Yeh He Sawal Karta Hai…
Kisay TOo itna Khush Rehta Hai…??????


"2 Ajnabi dost"
No ObBjEctIoN

Tum se milney ka waada tha

SLAM TO ALL

Tum se milney ka waada tha
g karta tha
jaisey mujh ko tarpaati ho!!!!
waisey hi tum ko tarpaon...
tum se aaj na milney jaon
lakin aaj bhi daikho jana!!...
meeri muhabbat meri zid se
jeeeeeeeeeeeeeet gae hey!................ .....
 
 
"2 Ajnabi Dost"
No ObBjEcTion

Chalo Shart Lag Jaye

Chalo Shart Lag Jaye MAin Sabit Kr Dounga,
K Tm Ne Dil Lagi Ki HAi Muhabbt Nam Ki, Ki Hai,

Sun Kr Oski Baton Ko MAin Bola Saada Dil LArki. . . .


Agr Main Dil Lagi Krta Jeeny Se  Yun Na Darta,
Muhabt Nam Ki Krta Wafayen Aam C Krta 
Mgr Phir B Teri Taskeen Khatir Ye Kheta Hon


Han Maine Dil Lagi Ki Hai Tuje Apna Smja Tha 
Tuje Dil Sy Lgaya Tha  Mgr Jaana Yakee'n Jano


Tmhare Hosle Ki Daad Deta Hon
Kitni Be'Rukhi Se Tumne Keh Dala


Chalo Phir Shart Lag Jaye K maine Dil Lagi Ki HAi
Labon Py Ungliyan Rakh K muje KhamooSsh Kr Dala..



 

'FirsT April

Tum Bhi Kitne Pagal Ho

Ek Din Achanak Hey Phone Agaya Os Kaa
Lehja Key Malammat se Ho Raha Thaa Subb Zahir
Ro RAhi Thi Shiddat se Larkhate Lafzo Se
Karahi Thii Baten Wo Tum Kahan The Ittne Din?

RoZz Phone Karti Thi Baat Tum Se KArrni ha
Jo Bohut Zaruurri Ha Kush Nahi Hun Me Bhi
Kch Pyar Tera Thukraa Kr Sara Din Tarrapti Hun
Chain He Nahi Milta Jagti Hon Shub Bher MAin
Neend He Nahi Aati Jo Nahi Kaha Kal Tak
Aj Tum Se Kehti Hoon Pyar Tum Se Kerrti Hon


MIAn Nay Phir Kaha Us Se MAin Na Kehta Tha
Tum Se Aik Din Tou Aana Hai Lot Ker Tumhain
Wapis Kaisay Tum Bin Mere Zindasi Guzaro Gi
Zinda Tou Raho Gi PAr Zindagi Na HO Gi Wo
Aik Aik LAmhe main Yaad Meri Aaye Gi
Doosi Taraf Se Phir Qehqeha Se Aya
Aik Aur Wo LAgi Kehnay Tum Bi Kittne Pagal Ho
Jantte Nahi Ittna Aaj 'First April' Ha 



Or Main To Tmhe Fool Bana Rahi Thi
Ye Sunte Hi Mera Tota Dil Aur Tot Gaya
Or Mera Dard Anssoun Mian BehGAya


"2 Ajnabi Dost"
No ObBJeCtiOn