Khabhi milein phir ?
Khabhi milein phir
Ussi terhan
Ussi jagha
Unhi lamhoon main
Ore unhi lamhoon ki lazaatoon main
Wahi khush gumaniyun k chaand
Wahi bad-gumaniyun k bhanwar
Wahi madd-o-juzer rafaqatoon k
Wahi azaab raqabatoon k
Main kisi sey koi kahani khaoon
Tum kisi sey koi kahanai kaho
Ore
Asal main aik kahani ho
Jo apni ho
Khabhi milein phir ussi terhan, ussi jagah ?
"2 Ajnabi dost"
! HaTE GiRLzz
FRODi LARkA
when 'I' is replaced by 'We'.. even 'Illness" becomes "wellness"!!! :))
Mar 22, 2010
tum ai ho to kya ai ho
Ab meray Pass tum ai ho to kya ai ho
Main nay ma'na k tum ek pekar e ranai ho
Chaman e dehar main roh e chaman aarai ho
Talat e mehar ho firdos ke barnai ho
Bint e mahtab ho gardo say utar ai ho
Mujh say milnay main ab andesaha e ruswai hy
Main ny khud apnay kye ke ye saza pai hy
Ab meray pass tum ai ho to kya ai ho
Un dino mujh pay qyamat ka jano ta'ri tha
Sir py sir sharyu ishrat ka janu ta'ri tha
Mah paro say muhabat ka janu ta'ri tha
Shaheryaro say raqabat ka janu ta'ri tha
Bistar e makmal o sand'yab the dunya meri
Ek rangeen o hassen khwab the dunya mere
Kya sunu ge meri majroh jwani ke pukar
Meri faryad e jigar dooz mera na'la e zaar
Shidat e karb main dobi hoi meri guftar
Main k khud apnay mazak e tarab’ahi ka shikar
Wo gudaz e dil marhom kahan say lao’n
Ab main wo jazba e masom kahan say lao’n
"2 Ajnabi Dost"
Dnt Belve Girlzz

Jo log jaan boojh k naadaan
Jo log jaan boojh k naadaan ban gaye
Mera Khayal hai k wo insaan ban gaye
Mera Khayal hai k wo insaan ban gaye
Hum hasher mein gaye magar kuch na pochiye
Wo jaan boojh ker wahan anjaan ban gaye
Wo jaan boojh ker wahan anjaan ban gaye
Hansatay hain hum ko dekh k arbaab_e_aagahi
Hum aap k mizaaj ki pehchaan ban gaye
Hum aap k mizaaj ki pehchaan ban gaye
Manjh_dhaar tak pohanchna to himmat ki baat thi
Saahil k aas paas hi toofaan ban gaye
Saahil k aas paas hi toofaan ban gaye
Ensaaniyat ki baat to etani hai sheikh jee
Bad_qismati say aap bhi insaan ban gaye
Bad_qismati say aap bhi insaan ban gaye
Kaantay bohat thay daaman_e_fitarat mein aye Adam
Kuch phool aur kuch meray armaan ban gaye.... .
Kuch phool aur kuch meray armaan ban gaye.... .
"2 Ajnabi dost"
Dnt BeLve GiRLzz
Kaat Kr Haath Mery
Chand Manga Na Koi Chand Nagar Manga Tha,
Andhi Nagari K Liye Noor-E-Sehr Manga Tha.
Phenk Deen Noch K Maali Ne Zubanen Un Ki,
Chand Chirriyon Ne Chèhakny Ko Shijr Manga Tha.
Piyar Se Hum Ne Banaya Tha Sahil Pe Kabhi,
Raat Bachon Ne Wohi Rait Ka Ghar Manga Tha.
Zard Mosam Ki Hawaon Ne Usy Ghair Liya,
Jis Ne Gulshan Mein Baharon Ka Guzar Manga Tha.
Kaat Kr Haath Mery Rakh Diye Mery Aagay,
Koi Tawan Nahi Ajar-E-Hunar Manga Tha.
Na Jany Kis Liye Waqt Khafa Hai Mujh Se,,
Main Ne Sookhy Hovy Pairron Se Samar Manga Tha...

GurIyA KiLLEr
Mar 20, 2010
Choom k maatha mera
Choom k maatha mera roz jagaye koi
Uth k dekhoun to nazar b nahee aaye koi
Paa'oun uthtay hee chale jatay hain jungle ki taraf
Mujh ko manoos si awaz bulaye koi
Log aate hain , thehertay hain, chale jatay hain
Aisa lagta hai mujhe main siraye koi
Behso ' takrar munasib nahee khud se har waqt
Mujhko is baat ka ehsas dilaye koi
Apni nazroun se kisi roz mujhe der talak
Kis tarah main nazar aata houn dikhaye koi
Har kadam per mujhe lagta hai k gir jaounga
Hosla mera lagataar barhaye koi
Aise halaat main kya kerna hai main janta houn
Mujhko jeenay ka saleeka na sikhaye koi
Chand ko khirki k us paar main kab tak dekhoun
Mere kamre main diya aa k jalaye koi
Khud se main rooth gya thaa magar ab chahta houn
Kisi din mujh se meri sulah karaye koi

Subscribe to:
Posts (Atom)