Feb 3, 2010

Ay ishq humein barbaad na kar

Ay ishq humein barbaad na kar

Ay ishq na chaiR aa aa ke humein, hum bhoole hu'on ko yaad na kar
Pehle hee bahut na'shaad hain hum, tu aur humein na'shaad na kar
Qismat ka sitam hee kam nahii kuch, ye taaza sitam eejaad na kar
Yoon zulm na kar be'daad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Jis din se mile hain dono ka, sub chain gaya aaraam gaya
Chehron se bahaar-e-subah gaii, aankhon se farogh-e-shaam gaya
Haathon se khushii ka jaam chuta, honton se hansii ka naam gaya
Gamgeen na bana na'shaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Raaton ko uth uth rote hain, ro ro ke duaaein karte hain
Aankhon ma tasavvur, dil ma Khalish, sar dhunte hain, aahein bharte hain
Ay ishq ye kaisa rog laga, jeete hain na zaalim marte hain
Ye zulm to ai jallaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Ye rog lagaa hai jab se humein, ranjeeda hoon ma beemaar hai wo
Har waqt tapish, har waqt khalish, be'khwaab hoon ma be'daar ha wo
Jeene se idhar be'zaar hoon ma, marne pe udhar tayyaar hai wo
Aur zabt kahe fariyaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Jis din se bandha hai dheyaan tera, ghabraaye huye se rehte hain
Har waqt tasavvur kar kar ke, sharmaaye huye se rehte hain
Kumhlaaye huye phoolon ki tarah kumhlaaye huye se rehte hain
Paamaal na kar, barbaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Be'dard zara insaaf to kar, is umr ma aur maghmoom hai wo
Phoolon kii tarah naazuk hai abhi, taaron kii tarah masoom hai wo
Ye husn sitam ye runj ghazab, majboor hoon ma mazloom hai wo
Mazloom pe yoon be'daad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Ay ishq Khudaa'ra daikh kahiin, wo shokh haseen bad'naam na ho
Wo maah-e-laqa badanaam na ho, wo zohra jabeen bad'naam na ho
Naamoos ka us ko paas rahe, wo parda nashiin bad'naam na ho
Us parda nasheen ko yaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Umeed kii jhoothii jannat ke, reh reh ke na dikhla khwaab humein
Aainda ke farzii ishrat ke, waade se na kar be'taab humein
Kehta hai zamaana jis ko khushi, aatii hai nazar kaam'yaab humein
ChoR aisii khushii ko yaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Kya samjhe the aur tu kya nikla, ye soch ke hee hairaan hau hum
Hai pehle pehal ka tajruba aur kam'umar hain hum, anjaan hain hum
Ay ishq khuda'ra rehm o karam, ma'soom hain hum, nadaan hain hum
Nadaan hain hum, na'shaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Wo raaz hai ye gham aah jise, paa jaaye koii to khair nahii
Aankhon se jab aansoo bahte hain, aa jaaye koii to khair nahii
Zaalim hai ye dunya dil ko yahaan, bhaa jaaye koii to khair nahii
Hai zulm magar faryaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Do din hee ma ehad-e-tiflii ke, masoom zamaane bhool gaye
Aankhon se wo khushiyaan mit see gaein, lab ke wo taraane bhool gaye
Un paak behishtii khwaabon ke, dil'chasp fasaane bhool gaye
Un khwaabon se yoon azaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Us jaan e haya ka bus nahi kuch, be'bus hai paraaye bus ma hai
Be'dard dilon ko kya hai khabar, jo pyaar yahan aapus ma hai
Hai be'busi zeh'r aur pyaar hai rus, ye zeh'r chupa is rus ma hai
Kehti hai haya faryaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Aankhon ko ye kya aazaar hua, har jazb-e-nihaan par ro daina
Aahang-e-tarab pe jhuk jaana, aawaaz-e-fughaan par ro daina
Barbat kii sada par ro daina, mutrib ke bayaan par ro daina
Ehsaas ko ghum bunyaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Har dam abdi raahat ka samaan dikhla ke humein dil'geer na kar
Lillah hubaab e aab e rawaan par naqsh e baqaa tehreer na kar
Maayoosi ke ramte baadal par umeed ke ghar ta'meer na kar
Ta'meer na kar, aabaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Jee chaahata hai ik doosre ko, yoon aath pehar hum yaad karein
Aankhon ma basaaein khwaabon ko, aur dil ma khayaal aabaad karein
Khilwat ma bhii ho jalwat ka saamaan, wehdat ko duii se shaad karein
Ye aarzooein eejaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Dunya ka tamaasha daikh liya, ghamgeen sii hai be'taab sii hai
Umeed yahaan ik weham sii hai, taskeen yahaan ik khwaab sii hai
Dunya ma khushii ka naam nahii, dunya ma khushii naa'yaab sii hai
Dunya ma khushii ko yaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar



"2 Ajnabi dost"
  BARdaasTh 

Jan 28, 2010

Main Moam Ki Gurya To Nahin




Wo aa kar apni Mohabbat jatata hay
Apnay banaye sanchon main
Mujhe ko dhalna chahta hay
Kabhi Pyar karta hay
Kabhi Roth jata hay
Apni hi sunta hay
Apni hi sunata hay
Meray ang ang main
Apnay akas dekhna chahta hay

Main Moam Ki Gurya To Nahin

K Wo Aa Kar Is Tarhan Mujhe Per Apna Haq Jatata Hay !!!

Janta Hoon Tu Mera Ho Nahi Sakta


Janta Hoon Tu Mera Ho Nahi Sakta
Magar Yeh Soch Ker
Keh
Dunia, Hadsaat
Ajoobat
Aur
Itafaqat Ki Ser Zameen Hay
Khud Ko Dhokay Main Lay Aata Hoon
Kia Aay Dost
Sha'oor-e-Zaat Kho Saktay Ko
Apni Raah Badal Saktay Ho
Kia Khud Ko Dubo Saktay Ho
Kia Sach Ki Nafi Ker Saktay Ho



"2 Ajnabi dost"
   i HatE girLz
 

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE....




                                   KYA KABHI SOCHA THA TUM NE....

Koi tumhare hawaason per chah jaye gi
Koi tumhain pyaar main baha le jayegi
Koi do din ki khushi deker
Saari ummer ki JUDDAYI de jaye gi

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE

Tum kabhi kisi se pyaar karoge
Us ka iqraar karoge
Us se izhaar karoge
Saari ummer us ka intezaar karoge

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE

Kabhi bethe bethe mukuraoge
Kabhi yun hi rone lag jaoge
Kabhi soch ker kuch khamosh hojaoge
Kabhi kisi waade per mukuraoge

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE

Kabhi kisi se tum rooth jao ge
Phir khud kisi ko itna manaoge
Kisi ke itne qareeb hojao ge
Tum kisi per itna mar jao ge


KYA KABHI SOCHA THA TUM NE

Jo aaj tak na kiya woh hi kar jaoge
Kabhi us ki tasveer ko baar baar dekhoge
Kabhi us ki shairi ko aankhon se lagaoge
Kabhi us ki yaad main so na paoge

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE

KABHI US KI KAHI HER BAAT YAAD KARO GE
                                        KYA TUM KISI SE ITNA PYAAR KARO GE ???....


         "2 Ajnabi dost"
           i Hate Girlz
 

tujhe ishq ho khuda karey


tujhe ishq ho khuda karey


Tujhay ishq ho Khuda karay

Koi Tujh ko uss sai juda karay

Tairay Hont hansna bhool jain
Tairee Ankh purnam raha karay
Tujhay Hijar kee wo nazar lagay
Tu Milan ke Har Pal Dua Karay
Tujhay Ishq per wo Yaqeen Ho
Usay Tasbehoon mai parhaa karay
Phir mai kahoon keh ishq Dhoong hay
Tu Nahi Nahi kaha karay
Tujhay Ishq ho Khuda karay 
 
"2 Ajnabi dost"
 i HatE girlz