Jan 25, 2010

os ne kaha yeh phone per


Kul humesha ki tarhaan os ne kaha yeh phone per
Main buhat masroof hoon mujh ko buhat se kaam hein
Is Liey tum aao miLney' Main tao aasakti nahi
hur riwaayut toor ker is baar main ne keh diya
tum ju ho masroof tao main bhi buhat masroof hoon
Tum ju ho mush'hoor tao main bhi buhat maarof hoon
Tum thukun se choor tao main bhi thukun se choor hoon
Jaan-e-mun hai waqt mera bhi buhat hi qeemti
kuch puraney doston ne milney aana hai abhi
main bhi ub farigh nahi mujh ko laakhoon kaam hien
wurna kehne ko tao sub Lumhey tumahre naam hien
meri ankhien bhi buhat bhojuL hien soona hai mujeh
rutjaghaoon k baad ub neendon mein khoona hai mujeh
Main Laho0o apni anaao0on ka baha sakta nahi
Tum na Aaein tao miLney main bhi aasakta nahi
os ko yeh keh ker Wasi' Main ne rasivur rukh diya
aur phir apni Anna k paoon pe sir rukh diya ...



"2 Ajnabi dost"
  iS iN lOVe
 

ChaloO Sahil Per Ja Ker

ChaloO Sahil Per Ja Ker......!!!!!




 


ChalOo Sahil Pey Ja Ker Apni PalkOon Say

Sunahraa Jaal Buntay Hain

Samunder May Uter Ker

SeepiYoOn Say Kuch SureelaY Taal Buntay Hain

ChaloO Ab UngliYOon Ki Narm PoRoo'n Say

Zara KhushbOo Ko Chuntay Hain

Zara Hum Dard Ko Chotay Hain

Is Ki Baat Suntay Hain

ChaLoO Sahil Pey Ja Ker

GulaBOon Ki KanwaRi PattiyOon Per Shabnami Moti

Chamak Uthtay Hain Lahzay Ko

Mager Phir Bujh Bhi Jatay Hain

K Dasht-e-AaRzOo Ki Rait AankhOon May Khatakti Hay

Chalo Sahil Pey Ja Ker

Roo-Pahli ChanD Ki KirnOo Ko Muthi Beech Band Ker K

HawaOon Say Bhi SaaTOon Sur Churatay Hain

Chalo Mitti Ka Ik Chotaa Sa Dono Gher Banatay Hain

Gharri Bher Ko Sahi Per Khul K Dono Muskuratay Hain

Jo Likhay ja Chukay Hain PatherOon Per, Khushk PaTtOon Per

Woh Maah-o-Saal Ginty Hain

ChaLo Sahil Per Ja Ker Apni PalKoOn Say

Sunahra Jaal Buntay Hain .....!!!!


"2 Ajnabi dost:
   Is In LovE
 


JO HER BAAT PE MUJH SE LERTI HAI

MERE GAON KI IK HASEEN LERKI HAI

JAISE GHAZAL YA RUBAYEE HAI WOH

HER DAM MERE DIL MAIN SAMAYEE HAI WOH

IK DIN HAMARE GHER MAIN AA GAYEE

HER TARAF JAISE BAHAR CHAA GAYEE

YOUN HI DAIR TAK BATAIN KERTAY HAIN

IK DOOJAY PER HUM MERTAY HAIN

KAL US SE BICHER JANA HAI

US KI YADON MAIN SAMANA HAI



"2 Ajnabi dost"
    Is In LovE 

GurIyA Bhihat PAgal Hai. . .!



GurIyA Bhihat PAgal Hai. . .!

Bohat Si Kitaaein  Bohat Si Cassets
Aur CDs Bohat Si Be-Tuki Oppointment

Dosto Se Phone Par Lambi Taweel Guftagu
Ya Phir Uljhi Raahon Par Chalty Yunhii Waqt Bitana

Be-simat Raston Par Be- Wajha Khak Urrana 
Ya Phir Net K Uljhao Mein Buri Tarah Khud Ko Uljhana 

 Baat Be-Baat Hasney K Bahaney Boht Hain Kush Duniya Ko Dikhaney Ko Kitney' Bahaney Dhondta Hay Dil 

Faqat Ussay Bhulanay Ko. . . . . . . . . .!!!!





"2 Ajnabi dost"
 Trars Of Silnce

Chalo Ab Maan Jao Tum



















Chalo Ab Maan Jao Tum
Bohat Anmol C Gharriyan,
Bohat Nayab Se Lamhy,
Sitamgar Waqt K Panjy Mein Aa Kr Kho Gaye Hum Se..
Bohat Ziddi Agr Ho Tum
To Hum Bhi Hain Bohat Khudsir,
Mgr Ek Bat Batlaoon,
Bichr K Hum Ne Kiya Paya,
Teri Khushian Juda Tujh Se
Mery Sapny Khafa Mujh Se,
Teri Raten Bhi Sadiyoon Si,
Mery Bhi Din Nahi Kat'ty,
Chalo Ek Pal Ko Sochen Hum,
K In Sub Raaigan Baton Se Akhir Kia Mila Hum Ko?
Chalo Ab Man Jao Tum,
Tera Joban Ye Mujh Se Hai,
Mera Jeevan Ye Tujh Se Hai
Tere Muskan Mujh Se Hai,
Mera Har Maan Tujh Se Hai,
Chalo Ab Man Jao Tum,
Mery Bin Tum Adhoory Ho,
Tery Bin Main Adhoora Hoon~...



"2 Ajnabi dOst"
    Is In LovE