¤~LUDDO~¤
Abhi sath thay dono hum-nawa
Wo bhi 1 pr men bhi 1 pr
Usy seerhi mili wo charh gya
Mujy rastay mein hi Dus lia
mere bakht k kisi Saanp ne
Wo 99 pr pohnch gya
Men 10 k phair mein ghir gya
Usey 1 number tha chahiay jo na mila
men brha to brhta chala gya
Bus 1 chokay ki to baat thi
Uss se jeetna meri maat thi
Men ne jaan k Got galat chali
aur saanp k monh mein daal di
Ye jo pyar hy kabi sochna
ye bhi "Saanp Seerhi" ka khail hy..
"2 Ajnabi dost"
Hum Tum

Apni he dhun me rehti thi..
Ik larki shokh or chanchal si..
Hr aik say batein krti thi..
Khoob mauj masti wo krti thi..
Ik dhanak thi us ky chehray per..
Phir janay kya toofan aya..
Chehray k rung bikhar gay..
Khushiyon k rung utar gay..
Jb poocha kisi ne aey larki...!!
Tm ne ye chup kyun saadh li ha?
Wo kuch na boli, bus ro di..
Aur khaak pe hath ki ungli se...
Ik lafz likh dala..
""wo aik ajnabi tha ""jo subse ajnabi """" kar geya""
"2 Ajnabi dost"
TuM BiN
Teri Basti ye kesi Basti hy
Meri DEEWANGI pe hasti hy
Pathron me b tujh ko dekhon main
Log kehte hen k Butt.prasti hy
SHAM lagti nhi suhani ab
Wo teri zulf ko tarsti hy
ASHYANA kb se JAL chuka hy mera
Phir ye Bijli c q GARAJTI hy
Tere DIL me to GHUM nhi "GuriYA"
Phir teri Aankh Q BARASTI hy...
"2 Ajnabi dost"
tU JANE NA
Mein na Mil sakon jo tumse meri justuju na kerna,
tumhey meri he Qasam hai Meri Aarzoo na kerna ...
Mujjhey jis se hai Muhabbat usey hai ajab ye addat ,
kabhe mun ko phair lena kabhe guftugo na kerna ...
Meine chaha tha kiisi ko mera haall kia hai dekho,
jo kia kasoor meine wo he tum kabhe na kerna ...
Mere ho Agar buarai to na dena tum safai ,
Merey sath khud ko ruswa kabhe ko-ba-ko na kerna ...
Koi poochey Badnaseebi ke hai inteha bhe koi,
to meri Misaal dena tu mujhey Namoona kerna...
Mein na mil sakoon jo tumse meri justugo na kerna,
tumhey meri he qasam hai meri Aarzoo na kerna ... !!
"2 Ajnabi dost"
tU JaNE Na